Posts

Showing posts from May 9, 2024

tukde

Khud ko toot-te bikharte , main har raat dekhti hun, Samet-ti hun khud ke tukde, aur  phir nayi shuruwaat har roz karti hun, Har din dekhti hun rasta tumhari ek khabar ka, Aur dhoondhti hun koi ilaaj main apne har Darr ka, Ki tumko kho kar karaar ek pal na aaya, Ek lamhe ko na chodd saka tumhare khayalon ka saaya, Tumhari tasveerein bhi jala di, Par jalti hun main khamakha kyun, Tumhari ummeedein bhi chodd di, Par maangti hun ab bhi tumko kyun, Kya meri mohabbat itni be-asar thi, Tum toh kehte thhe main zindagi thi, Aadat thi, tumhara Ghar thi, Mujhe mujhse beghar kar tum chain se sote kaise ho, Mujhe itna Tod kar, mere tukdon par tum chalte kaise ho, Ek burra khayal nahin nikalta, bad-dua dur ki baat hai, Par sach toh yeh hai ki mere pyaar ki yahi aukaat hai, Tum kehte thhe manaane aaoge tum agar main na aayi, Tumne toh bandh kar diye darwaaza dekh meri parchaayi,  Kahan jaaun kis se ardaas karun, Kaise main khud ko ab maaf karun, Tumhe chahna ab log meri galti bataate hain, Hanste Ha