Posts

Showing posts from October 27, 2024

👤pehchaan

Yahan likhti hun kyunki yahan tumhe koi jaanta nahin,  Saari duniya mein elaan kiya tha mohabbat ka maine,  Par yahan hamara rishta koi pehchaanta nahin. Medhavi  24/10/24

🫧sach

Sach ki talaash nahin ab mujhko,  Kyunki har lafz tumhara dhokha tha,  Bas afsos hai, gussa hai khud pe mujhko, Kyunki mere sab apnon ne mujhko roka tha,  Yakeen tum par maine kiya,  Kyunki zindagi bhar mohabbat ko dhoondha tha,  Tum miley aur talaash khatam huyi,  Aisa kuch maine socha tha,  Ab dekhti hun tumhe gairon ke liye woh sab karte huye,  Jo Jo tumse maine maanga tha,  Meri zindagi tabaah kar tum yun hi chale gaye,  Kya ek pal ko bhi tumhara pyaar sachcha tha ?  Medhavi  26/10/24