dard ki siyaahi
Maine dard ki siyaahi Aaj ashqon se udhaar maangi Likha sirf tera naam Aur ek ghazal aisi likh daali Jiske mukhde mein hamari Pehli mulaaqaat ka mausam tha Aur antre mein hamari Faasalon ki dastak ka aaghaaz tha Siyaahi khatam na ho saki Aur Raat yun hi guzar gayi Tere saath na hone ka ghum Bujhti sarhadon ko aag deta raha. - Medhavi 27/01/25