dard ki siyaahi
Maine dard ki siyaahi
Aaj ashqon se udhaar maangi
Likha sirf tera naam
Aur ek ghazal aisi likh daali
Jiske mukhde mein hamari
Pehli mulaaqaat ka mausam tha
Aur antre mein hamari
Faasalon ki dastak ka aaghaaz tha
Siyaahi khatam na ho saki
Aur Raat yun hi guzar gayi
Tere saath na hone ka ghum
Bujhti sarhadon ko aag deta raha.
- Medhavi
27/01/25
Comments
Post a Comment