Posts

Showing posts from July 17, 2016

😑Sher...*

Khaali zindagi hai Bharne ko waqt bhi nahin Aur woh aa gaye liye dil apna Poochte hain kya Zara bhi jagah nahin ? Medhavi

Para Khushi se Khauff... *

Talaash Ek arsa guzar gaya khul ke hasse huye. Na jaane kab khushi ke khauff mein rehne ki aadat padd gayi. Ab bhool jaate hain kabhi kabhi ki zinda bhi hain. Phir mehsoos karte hain ki saansein chal toh rahi hain. Hairaani ki hai baat ki sabko yaad mera Wajood hai, par kisi ko dikhta nahin ki in aankhon mein toote khwaabon ke alaawa aur kuch bhi nahin. Udaasi se kar li hai dosti kuch iss tarah ki khushi ke mukhautte ke peeche uska naam o nishaan dikhta nahin. Har subha jab aankhein kholti Hun, toh dhundhlaayi si zindagi dekh khud par hansti hun. Lagta hai chalo ek aur din aaya hai, jee kar dekhte hain. Ummeed toh kab ki chorr di, dhokhe ka bhi ab darr nahin, bas yun hi pehne ek mukkammal insaan ki poshaak, yahi soch phir hum Ghar se nikal jaate hain. Din guzar jaata hai kuch kaam mein, toh kuch aaraam mein, par ummeedein dene ka yeh silsila ab bhi jaari hai. Khud ko khud se ummeed nahin aur har din Na jaane kitni zindagiyon ko samajhne ki koshish main karti Hun. Achcha lagta hai