Para Khushi se Khauff... *

Talaash

Ek arsa guzar gaya khul ke hasse huye. Na jaane kab khushi ke khauff mein rehne ki aadat padd gayi. Ab bhool jaate hain kabhi kabhi ki zinda bhi hain. Phir mehsoos karte hain ki saansein chal toh rahi hain. Hairaani ki hai baat ki sabko yaad mera Wajood hai, par kisi ko dikhta nahin ki in aankhon mein toote khwaabon ke alaawa aur kuch bhi nahin. Udaasi se kar li hai dosti kuch iss tarah ki khushi ke mukhautte ke peeche uska naam o nishaan dikhta nahin. Har subha jab aankhein kholti Hun, toh dhundhlaayi si zindagi dekh khud par hansti hun. Lagta hai chalo ek aur din aaya hai, jee kar dekhte hain. Ummeed toh kab ki chorr di, dhokhe ka bhi ab darr nahin, bas yun hi pehne ek mukkammal insaan ki poshaak, yahi soch phir hum Ghar se nikal jaate hain. Din guzar jaata hai kuch kaam mein, toh kuch aaraam mein, par ummeedein dene ka yeh silsila ab bhi jaari hai. Khud ko khud se ummeed nahin aur har din Na jaane kitni zindagiyon ko samajhne ki koshish main karti Hun. Achcha lagta hai jab log kehte hain, tum Na hoti toh kya hota, tum ho toh ummeed hai. Shayad yahi soch kahin andar dafn hai, Jisne zindagi se thodi mohabbat ab bhi barkaraar rakhi huyi hai. Har raat wahi mushkil, logon ke beech par tanha, yun hi jhootha muskuraana aur baatein karna. Kabhi kabhi sochti Hun ki sabke saath ho kar bhi yeh tanhaayi ka ehsaas kitna ajeeb hai, kisiko samjhaane baithungi toh kya koi samajh paayega? Aisa nahin hai ki zindagi adhoori hai, par ismein shayad main main hi nahin Hun. Na jaane kab kisike peeche hum khud ko chorr aaye, ab bhi dhundhte hain khud ko anjaan chehron mein, veeraan raston par, phir lagta hai kabhi khud se mulaaqaat bhi ho gayi toh kya pehchaan paayenge khud ko ? Ya yun hi guzar jaayenge ajnabee samajh kar, khud ko bhula baithe hain iss Kadar ki ab talaash bhi karne ko dil karta nahin...

Medhavi

Comments

Popular posts from this blog

oas 🌸

ghum 🌸

neend 🌸