🫧kaafilaa
Ek nazm si chalti hai, Waqt ke kaafile mein, Jaise zindagi takra gayi ho, Toote huye hausalon se. Intezaar, aur sirf intezaar, Rehta hai mere hisse, Khaamosh lafz, Rehte hain kal ke daayaron mein. Ek benaam sa rishta hai, Aur bekhauffiyat hai jazbaaton ki, Gulaab ki khushbu sa behta hai, Aur darr ki chaadar hai kaanton ki. Uljhe huye sire kuch, Kuch khoobsurat kisse hain, Sirf baaton ke tukde, Aur ghazalon se mukhde hain. Theherna hai, chalna bhi hai, Bheegna hai, jalna bhi hai, Kashmakash hai, Haqeeqat bhi hai, Aur dil ko tootne ki, Aadat bhi hai. Phir bhi aankhon pe parda sa hai, Guzarte mausamon ka darr sa hai, Par nazar mein tassavvur khwaabon sa hai, Aur aashiyaan sajaane ka manzar bhi hai.