Pending Kisson ki chaadar... - A Tribute to Tapti Chaai Stall,JNU

Kisson ki chaadar mein simta ek khoobsurat sa aashiyaan
Jo adhoora sa basaaya kisi anjaan shaqs ne
Aur ban gaya hamare ishq ki pehchaan...
Kahaani shayad wahin se shuru huyi thhi
Jab halki halki shaam dhal rahi thi
Chaai ka woh cup ab bhi meri ungliyon ko garm kar deta hai
Samaa uss shaam ka ab bhi mere lamhon mein rang bhar deta hai
Aankhon aankhon ki baatein
Kuch adhoori si mulaaqaatein
Uss chaanv bhare manzar ne
Na jaane kab de di itni saugaatein
Woh jhuka hua sa ped
Jo lagta thha toota sa
Uss se woh raasta ab bhi nikalta hai
Sannaatton mein goonjti aahaton mein se
Ab bhi koi geet sa bajta hai
Mor yun hi chalte huye unhi rangon mein kho jaate hain
Aur un sannaatton mein kahin gum hum tum bhi ho jaate hain
Baithhne ki jagah hamesha
Wahan nam nam si rehti hai
Kabhi oas kabhi baarish wajah
Par waisi hi achchi lagti hai
Har daffa kapde hamare
Ab bhi geele ho jaate hain
Aur hum phir hans kar khud par
Apna hi mazaak banaate hain
Na jaane kitne kisse, kitni yaadein
Kaid hain un kuch boondon mein
Sun rahi thhi koi koyal shaayad
Ki baatein woh sab usko bhi yaad hain
Yeh baatein sochte sochte
Lo chaai aaj bhi thandi ho gayi
Phir kahenge hum yun hi
Ki chaai aaj bhi achchi nahin bani
Phir bhi laut ke aayenge yahin
Ishq phir dohraane ko
Un aankhon mein phir utarne ko
Aur deewaana banne ko...
Ki in sannaatton mein bassi hain
Na jaane kitni baatein
Chalo aur bhaari kar dein shaakhein
Bhar kar thodi aur yaadein
Le aao phir ek chaai
Aur haathon ko senk lene do
Rakh lo keemti yaadein
Aur ghum ko phenk dene do..
Yeh kisson ki chaadar thodi nam hai
Kyunki ismein kahin tum aur hum hain
Hain ehsaas basse in khaamoshiyon mein
Aur ishq kahin in maujoodgiyon mein...
Ho jaane do ishq phir se
khud ko roko na bewajah
Ki iss lamhe ko phir baandh do waqt ke kaafilon se
Ki yeh manzar yeh mausam
Shayad sada ka hai
Iss jagah ki roomaaniyat
Shaayad sada ki hai...
Medhavi

Comments

Popular posts from this blog

oas 🌸

ghum 🌸

neend 🌸