Pending.Ek mulaqaat...

Ek mulaaqaat ke intezaar mein
Na jaane kitni seher dastak de gayin
Na jaane kitni shabh dhal gayin...

Hasraton mein rang bharta gaya
Aur Rangon mein noor utarta gaya
Noor mein nakkaashi hoti rahi tere ehsaas ki
Nakkashiyon mein ghulti gayi teri mithaas si...

Ab woh ek mulaaqaat na jaane hogi kab
Khatm ho gayi wajahein aur bahaane sab
Kuch paane ya khone ko nahin lekin
Phir bhi daav lagaaye dil hum baithhe hain
Samajhne samjhaane ko kuch nahin hai
Phir bhi uss ki ummeed lagaaye baithhe hain...

Medhavi
05.06.15

Comments

Popular posts from this blog

oas 🌸

ghum 🌸

neend 🌸