Is baar
Is baar jab hum milenge
Khamosh rahenge ya baatein karenge
Dekhenge hum jab ek doosre ko
Aur jab saath baithenge
Toh kya haath pakad ke rakhenge
Aur agar saath chale toh
Kya hamare haath chuyenge
Yeh sab soch main intezaar kar rahi hun
Din guzar rahe hain aur main tumhare paas aa rahi hun
Main hun shayad paagal, par sirf tumhare liye hun
Tumse maanga nahin kuch bas tumhari ban gayi hun
Mohabbat ka naam na dena, yeh us se pare hai,
Tum subha ka suraj, main bas roshni hun.
Medhavi
Comments
Post a Comment