Phir uss raat si

Har raat ki taqdeer
Woh ek raat likh gayi
Meri kismat se teri lakeer
Dhundhlaate huye mitt gayi...

Ab bhi shor hai waisa hi
Aur khaamoshi bhi waisi hai
Ab bhi dard hai waisa hi
Aur hassi bhi waisi hai...

Bas mehfilein badal gayi hain
Tanhaayiyaan badh gayi hain
Ghazalein likhne lagi hun
Jhootha hansne lagi hun...

Ab bhi chaand mujhko
Khoobsurat pehle sa lagta hai
Ab bhi kahin intezaar
Koi chupaa hua zarra sa karta hai...

Ab bhi dua-on mein
Naam tera yeh dil dohraata hai
Phir khaali hatheliyon se
Khud ke ashq bhi ponchtaa hai...

Tu bekhabar toh nahin
Kyunki yeh hawaayein tujhko bhi chooti hain
Yeh dhoop tujhe bhi garm karti hain
Yeh baarishein tujhko bhi bhigoti hain...

Par shaayad hawa tujhe choo kar bhi
Kahin dhoke mein reh jaati hain
Tujhe toh lautna na thha kabhi
Ab hawaayein bhi bewaffa si lagti hain...

Ab dhoop yeh shaayad tujhko nahin
Bas mujhko hi jalaati hai
Aur baarishein bhigoti hain magar
Rag rag nam kar jaati hain...

Giley hain tujhse kitne lekin
Shikaayat nahin karti hun main
Jab jab tujhe bhulaana chaahun
Fitrat se nahin palat-ti main...

Ban gayi jaise aadat si meri
Tujhse waffayein nibhaana
Toote raundhe huye dil se bhi
Mohabbat phir kar paana...

Phir uss raat si
Har raat si raat hai
Kahin dabi huyi
Ubhri si wahi baat hai
Zehen mein rakha hua zikr tera
Phir ghazal mein tabdeel ho utha
Lo aaj mera ishq phir se
Majboor ho uthha...

Medhavi
31.05.15

Comments

Popular posts from this blog

oas 🌸

ghum 🌸

neend 🌸