😑Do Kamre...*

Kehne ko do kamre hain mere
Ek ghar mein aur ek hostel mein
Donon kamron se ek tarah ki mohabbat si hai mujhko
Ghar ka kamraa bachpan se baantaa tha apni behen ke saath kyunki baantna paddta hai
Aakhir behen hai aur ghar thha chota sa
Yahin issi kamre mein na jaane kitne saikron lamhe kaid hain ab bhi
Har nazar mein ek yaad ki tasveer ab bhi rang bhar deti hai
Aur hostel ka kamra bhi baantaa kyunki baantna paddta hai
Magar ek cheez hai dono kamron ki khaas si
Tanhaayee ki khushboo ek si hai
Ghaddi ki tik tik ki aawaaz bhi
Aur hawa se takraata hua ghum ka saaz bhi
Shamaa wahan bhi jalti hai raat ki
Katra katra kar pighalti hai aaj bhi
Yaadein kal ki peecha karte karte
Aa gayin hain kuch uss kamre se iss kamre tak
Na jaane kab tak juddi rahengi wajood se
Dard ki saugaatein
Woh beeti huyi baatein
Kamre shayad badalte rahenge
Par yeh khushbuyein, yeh aawaazein, yeh saaz, yeh shamaa ki garmi, yaadein aur aakhiri aas.. rooh ke saath aage badhti rahengi
Kuch aur humko paagal karti rahengi
Medhavi

Comments

Popular posts from this blog

oas 🌸

ghum 🌸

neend 🌸