Aarzoo

Woh choo Kar humein us raat
Bhool Gaye agli subah
Jise Maine samjha shuruwaat
Woh thi unke liye bewajah

Chand lamhon ke liye
Jab maine khud ko aazaad paaya tha,
kho Kar panaahon mein unki
Hosh hi nahin, yeh Dil bhi gawaaya tha,
Woh unke liye bas kuch fursat ke pal thhe,
Hum bhi unke guzarne wale Kal thhe

Unke Honthon ki haraaratein
Jo Meri saansein ab Tak bhooli nahin
Unke jism ki khushboo
Jo ab Tak mere us raat ke kapdon se chhooti nahin
Uski ungliyon ki chuan Jo Meri ungliyon ko zabaani yaad hain kisi aayat ki tarah,
Aur woh raat Jo nibhaayi maine sachchi mohabbat ki tarah,
Unke liye bas woh ek behka hua lamha tha,
Mohabbat ki sejh par khwaab mera hi Tanha tha...

Unki maujoodgi theher si gayi ehsaason mein zindagi ki tarah,
Ab saans aati hai to unke ehsaason ko choo choo Kar,
Ki unhone samjha nahin kaabil e mohabbat humko,
Aur hum unke naam Yun hi apne saare khwaab Kar aaye...

Ab naasamjhi kahiye ya deewanagi isko,
Ki kuch haasil nahin, na-ummeed hai Dil bhi,
Par us raat ki sargoshi aksar tanhaayiyon mein goonj jaaya karti hai aaj bhi,
Woh milte Hain pehle ki tarah ab bhi,
Phir bhi uddti uddti unki aarzoo zehen mein theher jaaya karti hai aaj bhi ...

Comments

Popular posts from this blog

oas 🌸

ghum 🌸

neend 🌸