Chhoota hua lamha... *

Ek lamha chhoot gaya,
Bahut si anginat gehraayiyon mein...

Kuch labhon ki surkhiyon mein
Kuch gesu-on ki uljhanon mein
Kuch badan ki silwaton mein
Kuch saanson ki behadh hadhon mein...

Kuch khushbu-on ke libaas mein chuppe dhuyein ki tarah
Kuch khaamoshiyon ki aas liye be-baak baaton mein doobi aas ki tarah...

Dabe paaon aa gaya katra katra kuch nazdeek
Bikhar gaya ek lamhe mein jo lagta thha ab tak theek...

Kuch tujh mein madhosh ho gaye
Aur hosh apne kho diye
Galat sahi se pare teri oar
Na jaane kyun uss lamhe tere ho gaye...

Na jaaye tu uss raat kya, kabhi bhi mujhse
Is khayaal ke khayaal ka sawaal hi na tha
Mulaaqaat thhi pehli aur koi bahaana bhi na tha
Jaate huye dekha tujhe mudd mudd kar yun humne
Jaise tere waapas aane ka intezaar hamesha se hi tha...

Comments

Popular posts from this blog

oas 🌸

ghum 🌸

neend 🌸