bambai🌸

[14/2/2022, 11:48 pm] Dr. Medhavi: Bambai, 
Kehte hain ki bambai sapnon ki nagri hai, 
Par mere liye toh hamesha Mera sukoon ghar hai, 
Pichle hafte main phir gaya tha Bambai, apne ghar, apne nagar, 
Itni baar 'apna' keh raha hun, 
Kyunki dooriyaan hi apnon ki ehmiyat ko samjhaati hain, 
Aur yeh ehsaas dilaati hain ki waqt kisi ke haath mein nahin hota...
[14/2/2022, 11:51 pm] Dr. Medhavi: Bambai ki choti choti baatein yaad aati hain, 
Jaise aadhi raat ko local train mein Safar karna, 
Marine drive par yun hi chalte huye hawa ko mehsoos karna,
Samandar ki khushboo,
Aur dhundhlaati huyi lehron ki aawaaz, 
Auto walon se kisse baantna aur,
Apne sheher mein mehfooz hone ka ehsaas...
[14/2/2022, 11:58 pm] Dr. Medhavi: Kayi baar toh bambai ke paani se baal dhona yaad aata hai, 
Toh kabhi tapri ki cutting chai, 
Baba falooda ya prithvi ke paraanthe, 
Har jagah Dil ka ek chota sa tukda basta hai, 
Bambai chorrte waqt bhi yahi sawaal tha, 
Aur ab bhi hai, ki kyun chorrne padde yeh jaane pehchaane raaste, 
Kehte hain ki insaan Bambai chorr sakta hai, 
Par Bambai kabhi insaan ko nahin chorrta..

Yeh shayad ab samajhta hun main, 
Jab baarishein gair shehron mein dhundhta hun main, 
Jab lambi baat - cheet karne wala koi anjaan ajnabee apna sa nahin lagta, 
Aur Bambai ki tasveerein phone mein dekhta hun main ...

Comments

Popular posts from this blog

oas 🌸

ghum 🌸

neend 🌸