Uljhi Yaadein...*

Aaj apne kamre mein, 
phir teri yaadon ko Ek doosre se uljha hua paaya maine. 
Kuch tohfe, 
unmein kahin jame huye kuch adhoore aur mukkammal lamhe. 
aur kayi sanjoye huye sapne, sab, 
sab uljhe huye thhe ek doosre se...

Ek pawan jhankaar (windchime), 
ek katta katta sa laal parda (wall partition curtain) 
aur upar lagi tasveer ka frame unmein ulajh kar toot gaya tha. 
Un tukdon ko samet-te huye aur uljhanon ko suljhaate huye, 
na jaane kab mann yaad sheher chal diya...

Yaad aaye woh din jab zindagi ka matlab tere hone se thha, 
har muskuraahat tere naam se thhi. 
Har din yaadgaar tha, har raat khushnaseeb thhi, 
har zarra qaayanaat ka, 
jaise tere mere naam ho rahi ek saugaat thha. 
Khushi ka thikaana shayad aasmaan mein gum tha kahin, 
khud ki nazar na lag jaaye, 
issi darr mein rehte thhe hum yun hi.

Par ab haqeeqat kuch aur hai, 
raahein kuch aur hain, 
woh baatein bas naam ki thhi, 
woh raatein guzarti shaam si thhi. 
Sab khatm hua ek din yun hi, 

khwaab toote, bikhre, badnaam huye. 
Ek pal mein hum tum ajnabee huye, 
ek pal mein sharminda hum sare-aam huye...

Mujhe yaad hai aaj bhi, 
jab tumhare jaane k baad, 

main ghanton apni hi kalaayi ko pakadkar sehlaaya karti thhi, 
aankhein bandh kar tumhe khud se chuaaya karti thhi. 
Tum laapata se thhe, kyunki pata tumhara jaan kar bhi,
main tum tak pahunch na sakti thhi,
Toh inhi choti be -maaniyon se behlaaya khud ko karti thhi....

Waqt laga aage badhne mein, 
waqt laga sab samajhne mein, 
aage main badh bhi gayi, 
kayi kaam badde main kar bhi gayi, 
par ab bhi khwaabon mein tum, 
kyun mere aate ho. 
Sab khatam ho gaya agar, 
toh ab kya kehna chahate ho. 
Woh tohfe tumhare main fenk ka saki, 
woh khat tumhare main jala na saki, 
unmein ab bhi saansein baaki hain, 
ya shaayad meri aasein baaki hain....

Ulajhne deti hun yaadon ko, 
bujhne deti hun fariyaadon ko, 
phir tanhaayi mein khud par hasti hun, 
ki kisko main dhoke mein rakhti hun...

Medhavi
06.04.15

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

oas 🌸

ghum 🌸

neend 🌸