Hai bhi aur nahin bhi..


Hai bhi aur nahin bhi..


Woh hawa hai jo choomti hai
Aur woh bhi hawa hai jo aandhi ban khanronchti hai...

Woh adaa hai jo dil churaati hai
Aur woh bhi adaa hai jo dil dukhaati hai...

Woh dard hai jo aankhein bhar deta hai
Aur woh bhi dard hai jo jism chheelta hai...

Woh pyaar hai jo har khwaab sach kar deta hai
Aur woh bhi pyaar hai jo har khwaab toddta hai...

Woh izhaar hai jo choo jaata hai ek hi nazar mein
Aur woh bhi izhaar hai jo bayaan ho kar bhi ankaha hai...

Woh khushi hai jo aankhein nam kar deti hai
Aur woh bhi khushi hai jo jaan le jaati hai...

Haar woh bhi hai jo jeet se hai badhkar
Aur haar woh bhi hai jo khatm kar deti hai ummeed ki seher...

Woh yakeen hai jo ummeed deta hai
Aur woh bhi yakeen hai jo baar baar toot ta hai...

Hai kitna kuch ek sa
Phir bhi wajood hain alag kyun
Zindagi hai aazaad yeh
Phir har modd par sarhad kyun...

Jawaab agar hai har sawaal ka
Toh phir talaash hai kis ki
Khud par hai yakeen agar
Toh kyun galti hai kismat ki...

Medhavi
15.11.15

Comments

Popular posts from this blog

oas 🌸

ghum 🌸

neend 🌸