Himmat-e-waffa...

Na jaane kahan daba sa thha, yeh zalzala,
Hum mein kahan thhi himmat-e-waffa,
Bas tere tasavvur mein duba kar palkein do pal,
Meri nazar se sharm-o-haya ne vidaa le li...

Saare khauff kahin ashqon mein, ghul se gaye,
Saare haqeeqaton ke kaafile, dhul se gaye,
Ki thaama khud ka haath tera maan kar,
Kahe huye lafzon ko tere,
Phir se kaanon mein pehne hadh se aage badh gaye...

Ab aar ho ya paar ho, jo bhi anjaam ho,
Ya chaahe waffa kar bhi hum badnaam hon,
Todd di humne janzeerein, beddiyaan hijr ki,
Ab tum saath dedoge, toh mar hi jaayenge...

Medhavi
03.11.15

Comments

Popular posts from this blog

oas 🌸

ghum 🌸

neend 🌸