Matlab...

Aadhi raat ko pyaar jataate hain
Aur phir kahin aap gum ho jaate hain
Kya daastaan sunaayenge aap humko
Hum aapko aap hi ka afsaana sunaate hain
Jab hote hain aap tanha
Toh yaad hamari aati hai
Warna maujoodgi bhi hamari
Aapko choo kar guzar jaati hai
Saath reh kar paas aa na sake aapke
Kisi bhi Baat se dil chura na sake aapka
Hum bhi haar gaye
Hamara pyaar bhi haar gaya
Aapke aage aitbaar bhi haar gaya
Ab ummeed na karein
Toh bhi takleef ho
Ummeed baandh lein
Toh dil ke nazdeek ho
Phir dil dukhaaoge
Ya humko aazmaaoge
Hum toh yahin khadde rahenge
Intezaar mein
Kabhi pyaar ho jaaye tumhe bhi
Toh bata dena
Iss zindagi ka koi matlab
Shaayad uss din humko bhi mil jaayega
Medhavi
24.11.15

Comments

Popular posts from this blog

oas 🌸

ghum 🌸

neend 🌸