Pending Nasha

Sharaab se ab nasha nahin hota mujhko
Tu tasavvur mein kuch is kadar rehta hai
Ki kadam saath nahin dete kabhi kabhi
Par tera khayaal har saans se yeh kehta hai
Bhula do mujhe agar bhula sako
Mitta do woh lamhe agar mitta sako
Par hum rahenge yahin ghar basaa kar
Khayaal khayaal par kabzaa kar
Tadpaayenge bhi, sataayenge bhi
Aur phir muskuraake naam tumhara pukaarenge
Ki kya karein shikaayat unki khuda se
Unki barbaad karne ki bhi adaa itni kaatilaana hai...
Medhavi
18.10.15

Comments

Popular posts from this blog

oas 🌸

ghum 🌸

neend 🌸