🫧Sushant Singh Rajput

Yeh jo bhi ho raha hai, 
Hamare aas paas, 
Woh saamne bhi tha, 
Par tumne dekha nahin,
"Depression" hai hi aisa,
Ki aasaani se dikhta nahin. 

Meri hansi ke peeche,
Chupi thi udaasi meri,
Gum hoti thi pehchaan,
Jaise har pal halki halki. 

Subha bistar se nikalna, 
Kisi khabar se khush hona, 
Kisi se mil kar baat karna, 
Apne mann ke rang ko utaarna, 
Mujhe mushkil lagta tha. 

Yeh mujhe samajh zara der se aaya, ki mujhmein kuch badal raha tha, 
Mujhmein main nahin tha, aur khud ko dhoondhne ki himmat na thi, 
Thhe bahut chaahne wale, 
Par mere dil ka kamra khaali tha, 
Chaar kadam par ek dost tha, 
Par dooori meelon si lagti thi

Chhillaana tha kayi baar, 
Par chuppi maine saadi thi, 
Waqt marham hai, suna tha, 
Par har guzarta pal jaise meri barbaadi thi...

Bas ek din zindagi se mann sa oob gaya, 
Sagar jaise mere burre khayaalon mein doob gaya, 
Maine khud ko haarte huye, 
Apni nazar se dekha, 
Aur phir khud ko, 
Aazaad karna hi maine theek samjha...

Log shaayad galat samjhein, 
Nafrat bhi karenge kuch mujhse, 
Par shaayad koi yeh samjhega, 
Ki dard itna tha ki maut halki lagi, 
Isliye maine khud hi khud se haar maan li...

Medhavi.

RIP Sushant. Can't get over your death.

Comments

Popular posts from this blog

Para. Life goes on... with or without someone..( A Story )

siskiyaan

🫧tere jaane ke baad