amaanush

Ek gaana suna tha bachpan mein, 
Aaj kuch kuch samajh mein aata hai, 
Jab khud ko samajh nahin paati hun, 
Woh gaana khud ko dohraata hai, 
'Dil aisa kisi ne mera toda, 
Amaanush bana ke chodda' .

Kabhi kabhi yeh bhi sochti hun, 
Ki aage badh thaam lun haath kisi ka,
Phir issi gaane ka antra sunti hun, 
'Saagar Kitna Mere Paas Hai
Mere Jeevan Mein Phir Bhi Pyaas Hai'. 

Koi kyun kisi ko is kadar adhoora chodd jaata hai, 
Tukde karte huye dil ke, usko ek bhi na chubhta hai, 
Insaan ko ek umar lag jaati hai sanjone mein, 
Khud ke tukde, khud ke sapne.

Ummeed dete hain log aksar, 
Ki waqt marham hai, 
Har zakhm bhar jaayega, 
Phir is gaane ka ant sunti hun, 
'Dooba Sooraj Phir Se Nikle, 
Rehta Nahin Hai Andhera,
Mera Suraj Aisa Rootha, Dekha Na Maine Savera'
Aur ummeed phir hans paddti hai mere dar par aane se pehle, 
Zindagi toh guzar jaayegi, 
Par ab na mehsus humein kuch hoga, 
Bahut si raatein dhalengi, subha aayengi, 
Par ab shayad ujaala kabhi na hoga...

Medhavi 
Oct 13, 2024

Comments

Popular posts from this blog

siskiyaan

oas 🌸

ghum 🌸