yaadein

Kuch yaadon se aazaad hona badda mushkil hota Hai. Cheezon mein, raaston mein, khushbuon mein, mausamon mein, kahin mehfooz Inka wajood, aage badhne se rokta Hai. Kuch mita sakte Hain, aur kuch Hain Jo kabhi khatm hote nahin, Zindagi ke kuch kisson ko khud ko dohraane ki aadat si hoti Hai. 

Baarish hamesha si Hain, phir bhi bheeni khushbu kisi guzre pal ki hoti Hai; sardi utni hi paddti Hai, phir bhi kohre mein kisi ek chehre ki parchaayi hoti Hai; garmiyon ki shaamein utni hi lambi hoti Hain, phir bhi haathon mein un haathon ki nami dafn rehti Hai; patjhad ki hawaayein utni hi tez hoti Hain, phir bhi unke udte tukdon ki manzilein guzre waqt ki hoti Hain. 

Khidki se guzarte mausamon ko dekhte Hain Magar, waqt ki sooyi ek arse se wahin atki rehti Hai. Bheed se guzarte waqt jab koi jaana pehchaana sa itr choo jaata Hai, toh ek pal ko Mudd ke dekhne ki hasrat kabhi khatm nahin hoti. Kuch apni pasand ke khaane se alag jab kisine kuch khilaaya tha, kyun har daffa ab bhi pehle nivaale par uska khayaal aata Hai. Jab koi film dekhte Hain dobaara to kyun kisi scene par uska wahi sawaal yaad aata Hai.

Guzre waqt ne jhanjoda Hai, toda bhi Hai, toh phir aazaad kyun nahin karta? Har din wahi baatein kyun dohraata Hai in zariyon se? Jinhe peeche chorna Hai, un jazbaaton ki kaid kyun badhaata Hai in lamhon se? Har din ki ek wahi ummeed, ki bhoolna Hai kuch Kal ke nakshon ko, par phir bhi kyun unhi pannon par Kahaani aa rukti Hai?

 Guzar Raha Hai waqt lekin kyun unhi lamhon par jawaani aa rukti Hai? Sawaal yeh har shaqs ka hota Hai khuda se, kudrat se, ki kuch yaadon se aazaad hona itna mushkil kyun Hai?

Medhavi 
06.07.17

Comments

Popular posts from this blog

oas 🌸

ghum 🌸

neend 🌸