hisaab

Waqt ka hisaab kho baithi hun aajkal, 
Din raat ek se lagte hain tujhmein kho kar har pal, 
Hai faasle apni jagah, 
Phir bhi kyun itni nazdeeki hai, 
Saat samundar ki doori, Saade teen ghante ka fark, 
Aur milne ki taareekh kareeb hi hai, 
Tujhe dekh kar jagne sone ki aadat padd gayi, 
Aur bematlab hansne ki wajah kaafi hain, 
Kat jaayega yeh intezaar ka daur bhi, 
Tab tak tum par likhni hain shayari har din, 
Guzar jaayenge yeh maheene, mit jaayegi har sarhad,
Jab milenge toh kaisa hoga yeh sochte hain tab tak. 

Medhavi 
02/07/24

Comments

Popular posts from this blog

oas 🌸

ghum 🌸

neend 🌸