🫧gali
Dhundha tujhe un sab galliyon mein jahaan jahaan ummeed thhi
Pukaara tujhe chilla chilla kar par shayad mere hausalon mein kami thhi
Sun raha hai tu mujhe
Shayad dekh bhi raha hai
Teri uss duniya mein shayad
Yeh sab mumkin har tarah hai
Par soch kabhi mera bhi
Hun main yahan be-ummeed
Sab pooch rahe hain mujhse
Aur main keh rahi hun sab theek
Sambhaalna hai tere apnon ko par mujhe sambhaalne wala koi nahin
Na jaane neend kab aayegi
Na jaane kab chain milega
Itni thhi baatein kehne ko
Par tune suna hi nahin...
Naraaz Hun tujhse aur khud se kar rahi hun nafrat be - intehaan main
Yeh soch soch ki woh aakhiri baar tujhse baat Na ki thhi maine
Bahut se kaash hain jin mein ab zindagi bitaani hai
Jo Na jaan sake tujhe unhe Teri kahaani sunaani hai
Par ek khauff sa ho gaya hai zindagi se
Tere bin jeene se ghabraata hai yeh dil
Kho gaye saare raaste
Gumshuda si ho gayi kuch aise manzil..
-Medhavi
R.i.p Abhi
Comments
Post a Comment