Dilli

Kyun achcha lagta hai tumhe Dilli ? 
Itna unsafe hai, itna traffic, itne uncivilised log ! 

Dilli, kahan se shuru karun? 
Mujhe Dilli ke dhalte mausam pasand hain, 
Kyunki har mausam mein Dilli kuch alag lagta hai, 
Har maheene, har saal, iska har rang badalta hai

Mujhe Dilli ke makbare aur baoli pasand hain,
Inko dekhne kitni bhi daffa jaaun, mann nahin bharta hai

Mujhe Central Dilli ki khaaskar, saari sadkein pasand hain, 
Chalte chalte waqt ka pata hi nahin chalta hai

Mandi House mein har din chalti firti, banti bigadti anginat kahaaniyaan pasand hain, 
NSD, Bengali Market, Triveni, Chinese Van, in sab mein kahin na kahin mera bachpan palta hai

Mujhe Dilli ki bus-on mein ghoomna pasand hai, 
Aur metro mein gaane sunte huye chalna pasand hai,
Public transport lo toh har din aasaan lagta hai

Lotus Temple ka sukoon, Qutub Minar ka view,
Ghalib ki haveli, aur Sundar Nursery ki vibe,
Cathedral Church ki candles, Bangla Sahib ka kada prasad,
Hanuman Mandir ke darshan, Jama Masjid ki azaan

Mujhe Dilli ke markets bahut pasand hain,
Sahi jagah pata ho, toh sab mil jaata hai, 
Sarojini, Kamla, Lajpat Nagaron se ho kar,
Pahaarganj, Janpath, Sadar, Karol Bagh, sab dekh kar, 
Chandni Chowk mein poora din kya, Ek hafta bhi kam hai, 
kyunki yahan insaan aksar kho jaata hai !

Aur khaana ! Yeh toh shayad bataane ki zarurat hi nahin, 
Jo ek baar Dilli mein reh liya, usay khaana toh kahin ka utna pasand nahin aayega, 
Mujhe Dilli ke khaane mein kya kya pasand hai, 
Yeh bataane mein hi ek din guzar jaayega

Mujhe Dilli ke perfect dates ke ideas pasand hain, 
Kyunki itnj choti choti cheezein hain, 
Jo ek mulaaqaat ko yaadgaar aur khaas bana deti hain, 
Majnu Ke Teele ka Laphing, Shake Square ka Milkshake, 
Nehru Planetarium mein saath taare dekhna,
Lal Qile ka Light & Sound Show aur Yamuna Ghat ki boat ride,
CP ka bas ek walk kar ke chakkar lena,
Aur India Gate pe jaa ke icecream khaana, 
Aur cheezein bataaungi toh mere ideas chori ho jaayenge, 
Dilli ko chaahne ke bahaane aur mil jaayenge.

Toh mujhe toh Dilli bahut pasand hai, 
Haan kuch cheezon ka dhyaan dena padta hai, 
Sambhal ke ghar se nikalna paddta hai, 
Par Dilli Dilli hai aur isme mera dil basta hai!

- Medhavi

Comments

Popular posts from this blog

oas 🌸

ghum 🌸

neend 🌸