depression

This is for all those who take depression lightly... Who think that the people around them who smile all the time are happy... Who think depression is overrated... Guys.. I'll just request you to ask once more.. if your friend/relative/colleague/partner/employee etc.is fine or not... 

Aaj aayeene pe nazar gayi, 
To khud ki muskuraahat kuch jhoothi si lagi, 
Mann mein shor tha bahut, 
Par aankhein nam na thi.

Almaari khol ke dekha, 
To har rang feeka sa laga, 
Mera peela dupatta bhi, 
Aaj saada sa laga. 

Samajh na saki kuch der, 
To bistar par baith gayi, 
Socha Zara der, 
Aur Dil tatolne lagi. 

Dhoondha har kona par karaar na mila, 
Waqt tha, par poochne ko khud se sawaal na mila. 

Tayyaar hone lagi to laga,
Chehre par aaj kuch na karun, 
Kajal se sooji aankhon ko main na bharun, 
Rang birange jhumkon se khayaal maun na honge, 
Ki aaj ke din bahaanon se main khud ko na behlaaun. 

Nikal padi main Ghar se har din ki tarah, 
Logon se mili muskura kar har din ki tarah, 
Ek dost ne pucha ki Kya theek hun main, 
Sar hila Kar muskura di har din ki tarah. 

Kaam mein dhyaan tha, 
Galti na thi par sau khayaal to thhe, 
Mere zehen mein saikaron bhoochaal bhi thhe, 
Par thaamne ko aaj bhi koi haath na tha, 
Sab saath the lekin koi paas na tha. 

Din guzra aaj ka bhi har din ki tarah, 
Main laut aayi kamre mein apne Yun hi har din ki tarah, 
Phir baith ke bistar par Sochi baat wahi, 
Pooch lete tum ae kaash phir se ki Kya main theek nahin. 

Kyunki nahin hun main theek abse nahin magar maheenon se, 
Aaj thak gayi main phir khud se ladte huye, 
Par aaj bhi kisine phir se poocha nahin, 
Aur din guzar gaya muskuraate huye har din ki tarah...
.
 
.
Medhavi 
29.03.18

Comments

Popular posts from this blog

oas 🌸

ghum 🌸

neend 🌸