likha

Tumse juda ho kar,
Jo bhi ghazal maine suni, 
Un sa ek antra maine tumhare liye likha, 
Jis bhi raaste se main guzri, 
Maine tumhara naam apne zehen mein likha,
Jis bhi mandir dargah mein maine dua maangi,
Toh us har dua mein tumhara achcha hi likha,
Jis bhi rang ko maine chuna har din,
Tumhari Nazar se maine har baar khud ko dekha, 
Tumse nafrat karun, yeh baat bahut baar sochi,
Par tumse mohabbat itni thi ki dil ke aage dimaag hazaaron karodon baar haara, 
Toh maine zindagi tumhare naam kar di,
Aur har saans ko bhi tumhare naam kiya. 

Medhavi 
30/04/24

Comments

Popular posts from this blog

oas 🌸

ghum 🌸

neend 🌸