shay

Main sochti hun aksar, 
Jab hum milenge toh kya hoga, kaisa hoga, 

Kya hum ek dusre ko dekh kar muskuraayenge?
Ya Jo baatein ho chuki woh soch kar hans denge?

Kya hum ek dusre se Nazar mila sakenge?
Ya bas baaton ke peeche sab Darr chupa lenge?

Kya hongi anginat baatein hum mein ? 
Ya khamoshi ka aalam hoga ? 
Kya saath chalte huye ungliyaan chhoo jaayengi hamari,
Ya Zara faasle ka Mausam hoga?

Kya hum, hum dono ke pasandeeda samose khaayenge,
Ya uski pasand ki koi aur cheez,
Kya hum phone wali hi baatein karenge,
Aur main tumko kahungi, chup, badtameez ! 

Kya main tumhare gale lag kar Zara der tumhe mehsoos kar sakungi,
Ya sharam ka pehra Zara sakht hoga, 
Kya main tumhe Dil ki saari baatein keh sakungi,
Ya hamare paas kam waqt hoga?

Yeh sochti hun main aksar ki,
Jab hum milenge toh kya hoga, kaisa hoga...

Medhavi 
21/05/24

Comments

Popular posts from this blog

oas 🌸

ghum 🌸

neend 🌸