Posts

Showing posts from 2023

story🌸

A fresh story.. by me Loving you wasn't a choice, it just occured to me. I wanted to look beyond the reality, I wanted to accept the flaws, but I just closed my eyes. I just covered my eyes with the translucent layer of your love that just made me see the partial truths in life. I fell in love with you and it couldn't be helped. There were times when I knew that you were not meant for me, there were times when I wanted to just look through the paused blurs between the translucent layers, but I just looked inside myself n found peace n happiness, so just preffered to love and get loved by you. There were times when you hurt me, physically n mentally, but I didnt give up. I made a choice to try till the end and I did. I knew that the end was near, I knew that we had to part ways, but I believed that it will happen at the right time, in the right way. How could I forget that it was me who covered my eyes, you could see it all. One day you just woke up and made up your mind, you we

kho diya🤞

Kho diya hai khud ko Tujhe dhundhte dhundhte Bhatak gayi hun kuch main Tera pata puchte puchte Jal gaye khwaab mere Tere khwaab poore karte karte Kuch chhil gayi ungliyaan Tera haath pakde pakde Kuch chhil gaye talve Tere saath chalte chalte Saare bandhan khud se hi todd aaye tere sahaare Tune bhi haath chhuddaa liya toh hum jaate kahan pe Kuch toot gaye hum kuch khwaabon ne jodd liya Kuch choott gaye bhram peeche ki haqeeqat ne jhanjhodd diya Kuch mar gaye kuch jee gaye Zeher jaan kar ishq pee gaye Phir hans bhi diye khud par Aur ro bhi liye akele... Medhavi

shaqs 🤞

Ek shaqs tha jisse mere hansne ki aawaaz behadh pasand thi,  Woh aksar aadhi tedhi baatein kar mujhe hasaaya karta tha,  Kabhi jab chalte chalte hamare haath choo jaate, Toh jaise uska zarra zarra jam jaata tha,  Raaste kuch yun badle ki hum jab miley ek arse ke baad,  Toh na usmein woh pagalpan tha,  Aur na mere chehre par hansi thi,  Bas khoye huye rishton ka ghum tha,  Aur muskurahat ki peeche behadh maayusi thi... Medhavi  28/11/23 

ghum 🌸

Kuch ghum ki parchaayi tum par bhi paddi Hum par bhi paddi Kuch dard ki chingaariyaan tumhe bhi jala gayin Humein bhi sulgaa gayin Kuch ashqon ki nami ne tumhe bhi bhigaaya Humein bhi sataaya Sab dil mein utarte jazbaaton ko chhoot-te tumne bhi dekha humne bhi dekha Sab bandhi ummeedon ko toot-te tumne bhi dekha Humne bhi dekha Bas fark itna raha Ki hamara saath na thha Koi aur hamare tha saath khadda Ek sa ghum Ek sa dard Ek sa dhokha Ek sa samjhauta Hum kar aaye khud se aur unse Aur phir hum tum miley bahut kismat se Waqt laga khwaabon ko ek sa karne mein Waqt laga sawaalon ko sulajhne mein Aur ek din humko phir pyaar ho gaya Ek aadhe adhoore shaqs se Tum se...humko pyaar ho gaya Ummeedein bandhti kaise Saari pehle se tooti thhi Neendein khwaabi hoti toh kaise Haqeeqat hi itni jhooti thhi Phir bhi aitbaar karne lage hum Tumse pyaar karne lage hum Shaam savere tujhse juddne lage Aadaton ke tevar badalne lage Neend ko bhi teri aadat si hone lagi Aur ek dor phir khwaab pirone lagi Hum t

neend 🌸

Neend Badda be - khauff hai dard yeh, Bin dastak aa jaaya karta hai, Ashqon ke libaas odh yeh, Din raat jagaaya karta hai... Aise mein jab Zara si khushi, Parchaayi mein bhi dhundhlaati hai, Ruk jaati hain saansein ab, Jab zindagi yeh muskuraati hai... Aadatein tanhaayiyon ki ab, kisi ke saath ki mohtaaj nahin, Jab aati hain liye koi vaada, toh dil kehta hai aaj nahin... khaamoshi ki lau mom se choo kar Zara si ladkhadaati hai, Jab koi haath pakadta hai toh saath chhootne ka darr badhaati hai, Guzra hua waqt jo ab tak beeta nahin, Usmein thamme huye toote vaadon ki yaad dilaati hai... Ab tum ho zindagi mein toh neend aane se ghabraati hai, Yeh haqeeqat badal Na jaaye kal iss darr mein raat bitaati hai, Neend aa jaaye toh phir khwaab dekhne se bhi ghabraati hai, Yeh khwaab Na toot jaaye iss darr mein kahan neend aati hai.... Medhavi

pink spectacle 🌸

Pink spectacle...  The cold breeze was brushing her hair, while the strands were bothering her eyes filled with tears. She was sitting alone at a lonely terrace, looking beyond a place that maybe never existed. Recalling past episodes of her life, she was smiling, crying, advising and scolding herself. She had been a friend, in love with her bestie, she had been a stranger, in love with somebody's voice on the phone, she had been a stalker, for the guy with the cutest smile, she had been a poet, for someone she could never get. She had been so much, in search for love, she was hurt so many times, in all those trials.  When she finally fell in love, with him, she thought it was end of the world. She was a giver since forever but she gave her own self, she gave up on her principles, she gave up on her dreams, and just decided to love him by all means. It was a pink rose colored spectacle through which she saw her dream life, everything beautiful, everything perfect. Somebody fell in

oas 🌸

Guzre huye lamhon ki oas, Aaj aayeene par jami huyi dekhi,  Gire huye do chaar lafz,  Aur bhulaayi huyi yaadein,  Kuch puraani tasveerein,  Aur dohraayi huyi baatein,  Ehsaas ajnabee to ho Gaye,  Par paraaye nahin,  Mulaaqaat to kehne ko ho gayi,  Par woh laut ke aaye nahin. Intezaar nahin, ummeed nahin,  Na unse mohabbat Hai ab,  Khud se naraazgi hai, nafrat bhi,  Kyun na samajh sake hum tab,  Behte rahe Nadi ki tarah unke jahaan mein, Jo kehte woh maan lete thhe, Aankhein moond Kar hum.  Ab khuli Hain aankhein to tajjub karte Hain,  Is oas par unka naam likh Kar mitaate huye, Hum hum na rahe, waqt badal Gaya magar, Woh na badle, na badli fitrat unki,  Kitni milegi saza us ek faisle ki,  Ki kabhi in nigaahon ne unko chuna Tha, Duniya se jhagad Kar unhe apna banaya tha. Mohabbat jab apni hi nazar mein gunaah ban jaati Hai,  Ek pal mein hausalon ki tasveer toot jaati Hai,  Saans aati Hai magar, jeene ka ehsaas nahin hota,  Zindagi guzarti Hai magar, Waqt nahin guzarta. Medhavi

depression 🌸

Is this Depression ?  There are times, When you scream and there's no noise, When you cry and there are no tears, When you are sleepless in thoughts, yet asleep in real, When your mirror questions you and nothing answers, When each step feels like a milestone, And each breath feels like a lifetime... When you're not lazy but just tired, Not physically but emotionally, Drained and drenched with your own dark thoughts, Locked and blocked in your mind's own darker room, When you see good things happening around, But can't feel anything, When even the best weather doesn't create a difference, And every morning there's a heavy feeling... A drowning heart and dying spirit, But then the thought that this shall pass,  As it is said, as the last time it was, This is a new day, let's try again, Let's live, let's smile, at least pretend... The sun still shines,  The stars still glitter,  The winds still blow,  And seasons change,  But what is it that has bound

is it okay 🌸

Is it okay if I tell you... That I miss you the moment you go out of my sight,  That I think about you until the end of every night,  That I begin my day with a smile because I have you in my life,  That I choose the color of my clothes keeping you in my mind... Is it okay if I tell you... That I still look at our pictures and wonder how we made it so far,  That I still crave for your presence and the love that you shower,  That I smell my clothes after you go coz they smell of you,  That I still drink water from the glass that you used last time,  That I still listen to songs that remind me of you,  That I calm myself down when I can't live without you that it's all gonna be fine... Is it okay if I tell you... That even thinking of my life without you breaks me from within,  That the thought of not seeing you again brings a full stop to my being,  That I pray for you every single time when I pray,  That I long for more of you every single day... Is it okay if I tell you... Tha

paradise 🤞

He wanted to still share the paradise.  The paradise she built for them both.  But the difference was her absence. The difference was her replacement. He wanted to still share the same friends. Friends, she built throughout her life. Friends, he met through her and felt alive. He wanted to pretend all's well. He wanted to envelope reality. She was living a nightmare. She wanted to still face it  and build her identity. He continued his games and smiled at her. Sarcasm was it ? some mirage or myth. She smiled back and welcomed his hopes. She got up again and lived like never before. Medhavi

replace 🤞

He replaced her like she never existed.  She passed him like he was a stranger.  He knew all about her and so did she.  He couldn't face her, but she wanted to see. How is he able to bear all the pain. Doesn't he miss her and want her back again.  But she just wanted to see and not change her ways. She was ready to let go and cry for nights and days. He wasn't worth her. She was worth eternities. But yes she thinks of him, like her biggest mistake.  Medhavi

not enough🌸

You just didn't love me enough  Seven years ago when we met,  I didn't know, neither you did,  That our paths will cross again,  And you will fall for someone like me... Someone as broken as I was then,  Tired of love, tired of being unloved.  And we met again when things were worse,  I had put my heart in jeopardy for someone else,  And was shattered but you still held me.  5 years of your patience,  5 years of your love,  But today I want to say that,  You didn't love me enough.  You said you find it hard to express,  And I waited for that one day when you would, You said you'd fight the world for me, And I waited for that one day when you would... You gave up too late,  Or you gave up too early,  I wasn't prepared,  We weren't done,  But between us there were always your demons, And you and your demons never believed in miracles.  Your practicality killed my dream - lit love,  Your pragmatism killed all my goals for us,  It was always black and white for you,

ghar🌸

Sukoon ho tum,  Mera ghar ho tum,  Tumhe dekh kar bas yun hi,  Aankhein nam ho jaati hain,  Ab bhi tasveerein dekh kar tumhari,  Meri aankhein muskuraati hain... Meri subha, meri shaamein,  Mere din, meri raatein,  Mere khwaab, meri neendein,  Mere kamre ki choti choti cheezein,  Sab tumhare khayaalon ko dohraati hain,  Tumse bematlab bewajah har din thodi aur mohabbat ho jaati hai... Tum dur ho kar itne,  Kaise mere dil ko chu jaate ho,  Kaise mujh mein doob kar,  Mujhe har din apna deewana banaate ho,  Tumhe paane ka hausala har din badhta jaata hai,  Ek hi khwaab kayi baar mera zehen mujhko dikhaata hai... Tum mujh mein kuch is tarah ho,  Ki main khud ki talaash mein hun aajkal,  Jo dekhti thi, padhti thi,  Kuch waise ishq mein main hun aajkal... Tumhara mausam meri saanson mein utarta hai aadat ki tarah,  Aur tumhara wajood mere naam se judta hai ibaadat ki tarah... Har din tumse puchte nahin thakti, ki mujhe chorr to nahin doge,  Par tumhara Siva ab to khud par bhi nazar nahin tik

bambai🌸

[14/2/2022, 11:48 pm] Dr. Medhavi: Bambai,  Kehte hain ki bambai sapnon ki nagri hai,  Par mere liye toh hamesha Mera sukoon ghar hai,  Pichle hafte main phir gaya tha Bambai, apne ghar, apne nagar,  Itni baar 'apna' keh raha hun,  Kyunki dooriyaan hi apnon ki ehmiyat ko samjhaati hain,  Aur yeh ehsaas dilaati hain ki waqt kisi ke haath mein nahin hota... [14/2/2022, 11:51 pm] Dr. Medhavi: Bambai ki choti choti baatein yaad aati hain,  Jaise aadhi raat ko local train mein Safar karna,  Marine drive par yun hi chalte huye hawa ko mehsoos karna, Samandar ki khushboo, Aur dhundhlaati huyi lehron ki aawaaz,  Auto walon se kisse baantna aur, Apne sheher mein mehfooz hone ka ehsaas... [14/2/2022, 11:58 pm] Dr. Medhavi: Kayi baar toh bambai ke paani se baal dhona yaad aata hai,  Toh kabhi tapri ki cutting chai,  Baba falooda ya prithvi ke paraanthe,  Har jagah Dil ka ek chota sa tukda basta hai,  Bambai chorrte waqt bhi yahi sawaal tha,  Aur ab bhi hai, ki kyun chorrne padde yeh jaane

thokar 🤞

Thokaron ki aadat mere har kann ko aisi paddi,  Ki andhere se ab mujhe darr nahin lagta... Itna kuch haar chuki is ek zindagi mein,  Ki kuch khone se ab mujhe darr nahin lagta... Haan jab kabhi koi muskura deta hai bewajah,  Ya kar deta hai kuch mere liye, Kabhi gulaab,  toh kabhi koi tohfa le aaye bewajah,  Ya yun hi gale se laga le kabhi,  Toh zara sehem jaati hun main  ek muskurahat ke peeche, Dil kahin dafn kar leta hai khud ko  pichle dhokon ke neeche... Ki ab Karo baat dur se,  Kareeb na aao hamare,  Toote tukde hamare, Kahin tumko hi chubh na jaayein   Medhavi  14/10/23

dhabbe🌸

Tumhe likhte likhte dard ki syaahi mein doob gaye hain lafz mere,  Ab kuch bhi pehnu, yeh dard ke dhabbe mere kapdon par padd hi jaate hain.  - Medhavi🤞 Yeh samajhne mein kaafi waqt lag gaya, Ki tumhe mujh se apni marzi se judde rehne ke ehsaas ki yaad aati hai... meri nahin.  - Medhavi🤞

people 🌸

There are different kinds of people in our lives.  Every other person serves a purpose.  The first step towards attaining peace is to remove those people from your life who don't serve a purpose in your life.  The second step is to classify and assign labels to the people who exist in your life. The labels can be as per you and your relationship with them. Some are needed in your hard times, some need you in their hard times. Some always speak highly of you before others but tell you when you're wrong in private. While some pretend to be your well wishers and don't leave a single chance to let you down. So, it's totally your call to understand and decide which amongst them are important for you and who you give power to in order to affect you, your mental health and your life.  The third step is to always make sure that you surround yourself with people who are positive, if not towards you then at least towards life. Because such people teach you the best lessons. Remem

intezaar🌸

Hum toote kayi dafa tere intezar mein, Dil toh tune pehle hi tod diya tha,  Par hausalon ko tune baar baar toda Hum bilkre kayi dafa tere pyar mein,  Sath dene ka vaada toh tune kabka tod diya tha, Par yeh hath pakad tune baar baar chodda Kabhi tera mann badalne ka,  Toh kabhi sahi waqt aane ka,  Kabhi tere waqt nikalne ka,  Kabhi tere waalpas aane ka,  Humne bahut intezar kiya Ab nahin hota intezar, Na tere lautne ka,  Na chodd jane ka,  Ab sirf intezar hai mujhko,  Khud ko wapas paane ka.

appeal sher🌸

Humne dil ko behlaaya bahut, Aankhon ko thakaaya bahut, Par khayaalon ne daraana na chodda, Humne khud ko samjhaaya bahut. Har raat kaatne ko daudne lagi,  Buri yaadein zehen mein lautne lagi, Khud se khauff sa lagne laga,  Dard ka dariya aankhon mein bharne laga.  Khayaal aaye bahut se khud ko saza dene ke, Ek aur mauka nahin, khud ko ek daga dene ke, Par kisi na kisi wajah ne rok liya,  Guzre achche waqt ne bahaane se tok diya.  Par shayad kal yeh bahaana na chale,  Khud se shayad khud ko dil bacha na sake, Isliye agar koi in lafzon mein chupe sannatte sun sake, Toh bas baat karne ki ek pahal zarur kare. Kyunki log sochte Hain ki kisi shaqs ke paas, Shayad lakhon hain baat karne ko,  Par asal mein kayi baar sabse tanha  woh shaqs hi hota hai. - Medhavi  25/09/23

shayari 🤞

Kayi din se usne mujhe gulaab nahin diye,  Yeh baat mujhe Aaj yun hi ek kaante si chubhi.  - Medhavi👍 Us din andhere se chhanti roshni mein uski aankhon ka noor kuch aisa chalka,  Ki ab tak utaar rahi hun main woh lamha katra katra shayari mein apni.  - Medhavi🫶 Yeh ashq ab aate jaate logon ka tamaasha ban gaye hain,  Bas teri aankhon mein utarne ki inki aukaat nahin... Medhavi 05.11.15🫶 तुम हमेशा वो एहसास रहोगे ,  जिसे शायद मैने हद से ज़्यादा मेहसूस किया .. मेधावी 19/10/18🫶 Us se jo kuch main keh na saki, Kayi arse tak maine dil mein rakha,  Na shikve thhe, na shikaayatein thi,  Maine sirf apna pyaar apne dil mein rakha... - Medhavi🫶 Ek khaas muskurahat si aa jaati hai woh lamha soch kar,  Jab mujhe pata hota hai ki sirf kuch seediyaan utar ke mujhe uska deedaar hoga. - Medhavi🫶 Uske baalon mein aksar main ungliyon se afsaane dhoondhti hun,  Shukr hai uski aankhon ka zikr na hua, warna sadiyaan guzar jaati bayaan karte karte.  - Medhavi🫶 Uski har khushbu mein jaise ek

tanha🤞

Maine raah dekhi uski uske saath rehte huye,  Usne itna tanha kiya mujhe ki meri parchaayi se bhi ab meri banti nahin. -  Medhavi

likhna🌸

Maine likhna chodd diya tha, Kyunki jhooth mujhse likha nahin jata tha,Aur sach uss se padha nahin jata tha. Woh aksar bahaane dusron ke deta tha,Par kabhi yeh nahin poochta tha,Ki aisa kyun likha?Kya tum itne dard mein ho? Main kya kar sakta hun tumhare liye ? Agar main yeh na karun toh kya tumhe Khushi hogi? Aaj likh rahi hun, kyunki pata hai ki woh yeh nahin padhega shayad kabhi, Aur jab bhi padhega, toh shayad samajh sake ki mujhe likhna pada kyunki usne kabhi suna nahin. -Medhavi 

khaamosh 🤞

Woh kehta tha humein nazar lag jaayegi, Isliye tumhari tasveer duniya ko nahin dikhaata, Aur har dusre din kisi aur ke saath apni tasveerein lagaata tha.  Bahut waqt lag gaya yeh samajhne mein,  Ki main uske saath tasveeron mein khadi thi,  Par shayad usay hamare rishtey se Sharm aati thi.  - Medhavi 10th July 23

jaane diya 🤞

Woh kehta tha humein nazar lag jaayegi, Isliye tumhari tasveer duniya ko nahin dikhaata, Aur har dusre din kisi aur ke saath apni tasveerein lagaata tha.  Bahut waqt lag gaya yeh samajhne mein,  Ki main uske saath tasveeron mein khadi thi,  Par shayad usay hamare rishtey se Sharm aati thi.  - Medhavi

sharm ✌️

Woh kehta tha humein nazar lag jaayegi, Isliye tumhari tasveer duniya ko nahin dikhaata, Aur har dusre din kisi aur ke saath apni tasveerein lagaata tha.  Bahut waqt lag gaya yeh samajhne mein,  Ki main uske saath tasveeron mein khadi thi,  Par shayad usay hamare rishtey se Sharm aati thi.  - Medhavi

sagar ✌️

Maine sagar piya tha teri aankhon se us raat,  Kuch pyaas ab bhi baaki hai uske baad, Bahut waqt laga hai mujhko tere saamne aane mein, Tu chu le agar toh shayad na sambhal paaun main,  Isliye bas mujhe nazar dekh lena is baar,  Jisse apne samandar phir bhar paaun main.  - Medhavi  July 8, 2023 

idea of love🌸

We walked past each other like strangers,  It felt as if I had forgotten his face,  It felt different, as it felt good,  I moved on sooner than I thought I would,  One second of awkwardness and then it was gone, I smiled again with my heart because nothing seemed wrong, I wondered on my way back was it him who I loved, Regrets too seemed useless as there was not even hatred, One of the best feelings I swear, is to finally get over your choices, It is when you can finally recollect yourself and hear your inner voices, The damage done can never be rectified though,  But now at least I can open myself again to the idea of love.  Medhavi  July 4'17

dhoke ✌️

Dhoke bahut se khaaye hain zindagi mein, Par tera yeh dhokha sabse haseen hai... Dekhne mein dilkash,  Baatein sunehri, Chu jaayein agar toh pighla de,  Rooth jaayein agar toh mana le... Par kya sach hai aur kya mirage,  Toota darpan haj aur do pal ka saath,  Kuch yakeen hai aur kuch kashmakash, Toota dil aur ummeedein bhi behadh... Par dhoke ne tere saara rasta saaf kar diya, Humne bhi tujhe chunne ke liye khud ko maaf kar diya... - Medhavi 

kankad🌸

Us Kachchi sadak ki marammat aaj hote dekhi Jiske kankaddon se humne Yun hi khela Tha kabhi  Khoobsurat lagegi shaayad ab woh puraani gali  Par sawaal phir bhi Dil mein aaya mere puraana wahi  Woh kankadd ab bhi tumhari daraaj mein padde Hain Kya ?  Unki dhool ab bhi tumne bachaayi rakhi Hai ?  Ya is nayi sadak ke banne se bahut pehle  Tumne Meri tarah Meri har yaad bhi bhula di hai Medhavi

forgiveness

Forgiveness  Forgiving someone for causing you hurt / damage / loss is often argued by different people. There are people around us who keep telling us to let go and forget what happened. But do we really forget ?  Nobody can feel the hurt / pain that someone caused you. Yes, they can be empathetic, they can be kind enough to listen to you and of course they can lend you a shoulder to cry on or an ear to listen and absorb your grief. But feeling it exactly like you is impossible.  Forgiveness is very subjective. It depends on how important a person is / was, what kind of hurt they caused and what damage you incurred as a human being, emotionally, physically or both in some cases.  And here are some myths about forgiveness that often people tell us with the belief that forgiving someone always makes a person feel better. It does. It surely does, but in its own sweet time. Sometimes you forgive after you heal from a trauma and sometimes you can't even after getting fully healed from

Lohri ki raat ✌️

Woh Lohri ki raat kuch alag thi, Dil ki geeli lakdiyon par, Darr mein lipti, mohabbat ki sarhad thi, Zara aag thi kashmakash ki, Zara hawa thi asmanjas ki, Aur do jism thhe, pal pal pighalte huye, Puraane gaanon mein dhalte huye,  Ek khwaab ko sach karte huye,  Us Lohri ko sabse khaas Lohri banaate huye... Woh raat phir guzar gayi, Ummeed bandh kar bhi bikhar gayi, Khwaab jee liya par khwaab hi reh gaya, Aur woh musafir laut kar apne Ghar gaya... - Medhavi 11/04/23

sheher🌸

Mera sheher tune loot liya kuch is tarah, Ki har jagah, har mausam mein teri yaad hai,  Har subha, har shaam mein teri hi baat hai... Tujhe bhool jaaun bhi main, par kis tarah, Mere zehen mein tere dhoke ki saugaat hai... Har din sochti hun, aaj aakhiri din chahungi tujhe, Har dua se pehle sochti hun, ki aaj na maangungi tujhe,  Par bhoolna itna aasaan kahan hota hai... Har din kuch aur toot kar aage badhti hun main,  Tu chhoot kar bhi chhoota nahin aisa lagta hai, Phir bhi har din tujhe phir se choddti hun main.  Medhavi  09/04/23 . . . . #SadShayari #Poetry #Shayari #PoetsofInstagram #WritingCommunity #Poets #poetrycommunity

bediyaan 🌸

Usay uddna pasand tha, Mujhe bandhe rehne ki aadat thi.. Ghum ne usay kabhi na chhua tha, Aur mere paas zakhmon ki saugaat thi.. Usay chaand dekhna pasand tha, Mujhe toot-te taaron par yakeen tha.. Uski zindagi mein sach ka darwaaza bandh tha, Aur main jaanti thi ki taqdeer se laddna befizool tha.. Uski Khushi mere saath thi, Par sukoon uske sheher se tha... Mere pairon mein bediyaan thi, Aur usko mere saath uddna tha... Toh maine ek din usay aazaad kar diya, Aur usne mere ishq ko dhoke ka naam diya, Shayad mujhe samajhna na aasaan tha, Isliye maine uske ilzaam ko yun hi maan liya. - Medhavi  25/03/23

Aaj unhe phir saath dekha🌸

Aaj unhe phir saath dekha... Aaj unhe phir saath dekha, Aisa laga jaise Dil ke kaanch par,  Guzre kal ki bhaanp si jam gayi, Aur nazar ke aage, andheron ka kohra, Jaise chatt hi na paaya... Mere rag rag mein sawaalon ki goonj thhi, Aur har khayaal ki saikaron uljhanein thhi, Par chehre par jhoothi muskuraahat bhi laani hi thhi, Apni tanhaayi ko bhi ek mehfil si dikhaani hi thhi... Woh saamne thha mere par, Haath uske haath mein kisi aur ka thha, Kis haq aur zubaan se kehti, Ki woh haath kisi gair ka thha... Main akele baith unke saamne, Bas muskuraati rahi, Baatein kar rahi thhi uski, aur apne dard ki,  Phir bhi bas hansti hansaati rahi... Zubaan ladkhadda rahi thhi, Aur har zarra cheekh raha thha, Phir bhi wahin baith main, Khud ka tamaasha bhi banaati rahi... Jab bhi nazar utha ke dekha, Nazar ussi se jaa mili,  Jab bhi nazar pherna chaaha, Ek ummeed si kyun jaag uthi, Phir raaton ko meri usne apne naam kiya, Aur phir dekh mujhe katl-e-aam kiya, Kyun aage badh thaama nahin, Na aage b

talaash🌸

Maine dhoondha tum us har jagah,  Jahan hum saath jaaya karte thhe,  Maine ki khud se baatein laakhon,  Wahan Jahan hum waqt guzaara karte thhe... Sach kahun toh tumhari khushboo ab bhi hawa ke jhonkon ko mehka jaati hai,  Aur tumhari aawaaz aksar mujhe sargoshiyon si mehsoos hoti hai... Shayad tumhe kabhi pata na chale, Ki tumhari talaash jaari hai meri raahon par na jaane kabse,  Shayad yeh raahein kabhi na takraayein,  Par bas ek aur mulaaqaat ki aas hai mujhe rab se... Kyunki kehna hai tumse ki tumhe bhool chuki hun main,  Bas tumhara diya dard bhulaaya nahin jaata,  Kehne ko maaf kar chuki hun tumhe main, Par tumhara dhokaa mitaaya nahin jaata... Haan, dua nahin karti hun tumhare liye ab main,  Par tumhare liye ab bhi kuch galat suna nahin jaata,  Khwaab toot gaye saare tumko kho kar,  Aur ab koi sapna bhi buna nahin jaata...

jaanti hun main🌸

Jaanti hun main... Hai kitna kasoorwaar tu Mujhe deewana banaane mein... Hai kitna kasoorwaar tu Mujhe deewana banaane mein... Yeh sochte sochte tujhpar ghazal likh rahi hun main... Teri bekhabari ko junoon bana kar... Teri bekhabari ko junoon bana kar... Aaj Phir khud par hans rahi hun main... Tujhmein hai baat woh kya Yeh ab bhi jaanti nahin hun main..  Tujhmein hai baat woh kya Yeh ab bhi jaanti nahin hun main..  Bas phir tujhko dekh kar tujhse aur mohabbat kar rahi hun main... Ibaadat  Ibaadat ka naam dun agar... Ibaadat  Ibaadat ka naam dun agar... Toh khuda se mukar rahi hun main... Ibaadat  Ibaadat ka naam dun agar... Ibaadat  Ibaadat ka naam dun agar... Toh khuda se mukar rahi hun main... Phir bhi tere naam ka kalma phir se dohraa rahi hun main Zindagi tere bin guzarni hai Yeh bhi jaanti hun main... Zindagi tere bin guzarni hai Yeh bhi jaanti hun main... Phir bhi apne aaj se kal ko tabaah kar rahi hun main.. Medhavi

baatein 🌸

Ho rahi thhi baatein Kuch iss tarah  Ki hawa mein hasi ki goonj Aur darmiyaan dooriyon ki khushboo thhi Kuch judaa kuch kareeb Yun hi gumshuda sa ek khayaal Jhooth aur sach ke beech jhoolta hua  Kuch khud par hasta  Kuch khud se rooth-ta hua Khayaal se nikalta sawaal yun hi bin baat jhoomta hua Kat gayi raat yun hi khaamoshiyon ki gufatagu mein Yun judd gayi ek raah ibaadat ki justajoo mein Kuch sitaare jo chamke thhe uss raat aasmaan mein  Ho gaye chaand ke kuch aur roobaroo kisi aur jahaan mein Kuch baatein jo huyi shuru thhi baaton ke bunte jaal se Aaj judd gaye phir meri is daastaan aur aaj ke iss khayaal se Phir likh rahi hun afsaana ussi raat ka Jispar likh chuki hun kitna ussi baat ka Woh hai khayaalon mein aaj bhi khud ko dohraata hua Hai anginat faaslon par phir bhi kareeb aata hua.... Medhavi

meri tarah

Kya meri tarah tumhe bhi talaash hai Guzre waqt ke khoye huye purzon ki Jinse shaayad aane wale waqt ki marrammat ho sake Kya meri tarah tumhe bhi khushi ki aas hai Jo guzre waqt ki dhundh mein gumshuda si Mausamon ki hawa mein thodi thodi chhoo jaati hai ab bhi humein Kya guzre afsaane bhula sake tum Ya ab bhi tumko woh baatein zubaani yaad hain meri tarah Kya woh tohfe phek chuke tum Ya ab bhi kamre mein sajaaye rakhe ho tum bhi meri tarah Ab aage badhne bhi do Khwaabon mein aana chorr do Bahut be-maksad si lagti hai zindagi tumhare bina Saath jo mumkin nahin Ab bhi kyun mannatton mein aata hai Kyun ab bhi saaya tumhara Veeraniyon mein bhi dastak si deke jaata hai Bhoolne do agar tum bhi bhool chuke Ya yaad rakhne do agar tumne bhulaaya nahin Na rakhenge bair koi hum  Na poochenge phir kyun bulaaya nahin Reh lenge tanha iss baat ko yaad kar ke Ki ek pal hi sahi din ka tumko hum yaad aate toh hain... Medhavi

February 🌸

Long days and longer nights, She almost forgot what life beyond home felt like, Curled up on her cosy blanket, She spent half of February like that,  Numb with unending thoughts of 'what ifs', She gave up too soon on herself... But today as she got up and faced her mirror,  And another tear crawled up her cheek,  There was a smile too that reminded her,  That giving up was meant for the weak... She dressed up, wore a new sweatshirt and changed her hand bag to a sling bag,  Wore her favourite make up and perfume, clicked pictures of herself and went out,  She could take a bus for free but she spoiled herself a little by taking a cab,  On the way she reminded herself about all those people who she couldn't live without, Those people who credit her with their happiness and success,  Those people who call her their inspiration and nothing less... And everything changed.  - Medhavi  Feb 18, 2023  . . . . #Bl

adhoori 🌸

Aadhi adhoori si  yeh ek daastaan hai,  Tumhari ho kar bhi na hun haasil, Aur tum meri na ban sakte ho kabhi manzil... Tumhe dekh sakti hun, maang sakti hun, Par tumse koi ummeed nahin rakhi jaati mujhse ab, Tumse mil sakti hun, kabhi choo sakti hun, Par haath thaamne ki himmat bhi toot gayi ab... Mohabbat bhi ajab bewakoofi ki cheez hai,  Insaan khud ko paagal bante dekhta bhi hai, Aur banaata bhi hai, Khud khud par zor zor se hansta bhi hai, Sharmindaa hota bhi hai, Par phir ussi ek nazar ka kaayal, Khud ko banane uske kaabil, Nikal paddta hai phir ussi raah par, Har manmaani sehne ko, Hoti hai bahut baddi museebat yeh galtiyaan, Mohabaat keh dete hain kehne ko... Medhavi  09/02/23

gentle🌸

When did you stop dreaming ?  When did your colors started to fade ?  When did you stop liking what you saw in the mirror ?  When did you stop believing that happiness is self made ?  Was it the day someone couldn't understand how you felt, so they told you that you're losing your mind ?  Or the day when someone chose someone else over you, just because they disappointed you and didn't have the patience to keep trying to win you back ?  Was it the day your parents / friends told you that by this age you should be done with this and you're still stuck ?  Or the day when your friends cut you off because you weren't of any use to them in future ?  Was it the day when someone you love told you that you're jealous of their success ?  Or the day they told you that you control and manipulate them while you were just trying to advise ?  I know, not just one, but many people broke you, over and over and now all you feel is this heaviness and numbness in your body and min

sun🌸

The sun couldn't enter my dark soul today,  I stood there, tanning my skin, drying my hair and soaking myself in the empties of my thoughts... The wind kept blowing,  And my hair became frizzy,  My heart was drenching,  But my eyes weren't teary... I zoned out multiple times, But I stood there, still & quiet,   My body kept reminding me,  Hydrate, rest, move,  But my heart kept yelling,  Vent, cry, share... And as someone entered the room,  I turned back with a wide smile,  And pretended that everything was good,  When asked, I said, I'm all fine,  Zoned out and confused from within,  I found myself motivating someone else,  And suddenly I woke up from my emotional slumber,  To realise that I was in a gathering of friends... I gulped down a few glasses of white wine,  Felt the wind in my hair at the 9th floor of a building high rise,  And looked around to absorb the night,  And told myself, just another day, just another life... - Medhavi  08.02.2023

bewaffa - 4🤞

Na jaane woh kaun sa pal tha, Jab woh mujhse bewaffa ho gaya, Kuch likhe huye lafz hi padhe thhe, Laga jaise dil ka har hissa chhil gaya... - Medhavi 30.01.23

// Baras // 🤞

// Baras //  . . Tumse baat hi toh huyi thi bas, Phir na jaane aise kyun hua,  Aayeene ne mere aaj mujhe yun dekha, Jaise itne baras guzre hi nahin.... - Medhavi . . . . #Poetry #Aesthetic #Relatable #AfterBreakUp  #HindiShayari #SadShayari #Shayari #Baras #PoetryCommunity #PoetryGram

for wapang🌸

Chaai ki chuskiyon ki aawaazon mein,  Aur cigarette ke dhuyein mein gum kuch lafzon mein,  Khwaab pirote hain hum Kal ke,  Yun hi dhoop chaanv mein baithe baithe... Kabhi nikal jaate hain sadkon par,  Bin raah, bin manzil jaane,  Kuch is kadar bunte Hain kaarwaan Zindagi ka,  Khud ek dusre par hum tum hanste hanste.... Yaari ya yaaraana, yeh dosti ka afsaana,  Mausamon mein kho jaane wala ek lafz ka kohra,  Murjhaate waqt ko panaah deta,  Ummeedon ka gulistaan... Puraani tasveeron par jami yaadon jaisa ek taraana,  Dhaagon se baandhte hum tum is dosti ka yeh naghma... . . . . Thank you for being such an awesome friend Wapang Ao ♥️ Wrote this for you 😊 pun intended 😂

fav - bahut hain🤞

Tum door nahin ho,  Par faasle bahut hain... Kal ka aayeena hai, Aur raahatein bahut hain... Bas yeh ek din aur sahi,  Aise dilaase bahut hain... Aur jo bhoolna na chaahun, Aisi baatein bahut hain... - Medhavi

khat 🌸

What are the deal breakers for you in a relationship?  There are so many things that a person goes through in a relationship. Relationships are meant to bring happiness to a person's life and when they become emotionally draining, there's no point of being in them. There are different kinds of relationships where there are various issues with respect to the partner you are with.  Some control your decisions / choices / preferences of career, clothes, friends, opportunities etc. You'd not realize when it is happening to you because love makes us blind and senseless, in most cases. So, they might tell you that you shouldn't be wearing such clothes coz they attract unwanted attention or don't talk to anyone from the opposite gender because you don't know what their intentions are. Their classic explanation being, I trust you, I just don't trust them. Some might tell you that you don't need a job because they are working and earning enough. Basically they wa

intezaar - waiting in love 🌸

Intezaar kis hadh tak kaafi hai ?  Are you really ready to wait for him? When there's no time limit, no commitment, no promises but just a hope that the person you love might change for good from a man - child to finally a man some day. In a relationship, a partner should be an equal, who is responsible for giving too and not just taking away your energy in the name of care and support. A partner is a partner, not a project that you need to work on. A partner has to be there for you just the way you are there for him.  Maybe someone after reading this might question me about my bias towards women, or the fact that why am I only talking about men being immature. It's because it is a fact that men take time to understand things and are emotionally challenged. They don't know most of the time about how to channelize their feelings, how to express, how to stop the one they love, how to realize things in time.. etc. I used to think all this and thought that maybe these are my ju

deal breakers🌸

What are the deal breakers for you in a relationship?  There are so many things that a person goes through in a relationship. Relationships are meant to bring happiness to a person's life and when they become emotionally draining, there's no point of being in them. There are different kinds of relationships where there are various issues with respect to the partner you are with.  Some control your decisions / choices / preferences of career, clothes, friends, opportunities etc. You'd not realize when it is happening to you because love makes us blind and senseless, in most cases. So, they might tell you that you shouldn't be wearing such clothes coz they attract unwanted attention or don't talk to anyone from the opposite gender because you don't know what their intentions are. Their classic explanation being, I trust you, I just don't trust them. Some might tell you that you don't need a job because they are working and earning enough. Basically they wa

save yourself first 🌸

I meet a lot of people who often ask or rather complain that their life's not getting any better. Honestly, I'm also one of them. But sometimes you need to hear it from someone else and so, here it is.  When you go through a tough time and you feel that you've hit your rock bottom, you feel that nothing would make me feel better. Nothing would ever be the same. And I won't say that you're wrong. You're right. Every loss makes us lose a part of our heart. But the important thing is what you take back from it. After many such experiences, I have learnt the hard way that God will keep putting you through hard times until you learn the lesson that he's trying to teach you. Be it at your professional front, w.r.t dealing with certain situations, or personal front w.r.t trusting/judging people, giving chances or making choices.  If you'd continue to handle the situations the same way you handled them the first time, don't expect different results. It's

one person 🌸

So, there's always this one person, whose smile literally makes your heart smile & whose tears tear your heart apart. You look forward to making them happier and doing things for them on their hard days and maybe sometimes without any occasion.  Their smiles speak out 'happiness' to you. There's no logic about why it affects you so positively, but you begin to feel at ease as you see them happy. Yes, you meet so many people every other day and many of you are so very special to you. But this one person, who can be your lover, mother, sister, brother, best friend etc. just operates on your calm with their state of mind. It's not that they needed or asked for this connection, it just persists since you know them !