ghum 🌸

Kuch ghum ki parchaayi tum par bhi paddi
Hum par bhi paddi
Kuch dard ki chingaariyaan tumhe bhi jala gayin
Humein bhi sulgaa gayin

Kuch ashqon ki nami ne tumhe bhi bhigaaya
Humein bhi sataaya
Sab dil mein utarte jazbaaton ko chhoot-te tumne bhi dekha humne bhi dekha

Sab bandhi ummeedon ko toot-te tumne bhi dekha
Humne bhi dekha
Bas fark itna raha
Ki hamara saath na thha
Koi aur hamare tha saath khadda

Ek sa ghum
Ek sa dard
Ek sa dhokha
Ek sa samjhauta
Hum kar aaye khud se aur unse
Aur phir hum tum miley bahut kismat se

Waqt laga khwaabon ko ek sa karne mein
Waqt laga sawaalon ko sulajhne mein
Aur ek din humko phir pyaar ho gaya
Ek aadhe adhoore shaqs se
Tum se...humko pyaar ho gaya

Ummeedein bandhti kaise
Saari pehle se tooti thhi
Neendein khwaabi hoti toh kaise
Haqeeqat hi itni jhooti thhi

Phir bhi aitbaar karne lage hum
Tumse pyaar karne lage hum
Shaam savere tujhse juddne lage
Aadaton ke tevar badalne lage
Neend ko bhi teri aadat si hone lagi
Aur ek dor phir khwaab pirone lagi

Hum tum sang poore hone lage
Par tum lekin adhoore hi rahe
Kuch tum mein badla nahin
Meri waffa ka suroor chadha nahin
Humein pyaar hota gaya
Tumhe pyaar hua hi nahin
Tum dil mein utarte gaye
Par ishq ne tumhe chua bhi nahin

Iss se baddi maat kya hoti
Ki tumhe jeet-te jeet-te khud ko haar baithe
Ab tum bhi ho kishton mein kuch kuch hamare
Aur aaj humse wahi sawaal kar baithe..

Kyun karte hain pyaar
Kabhi samajh sakenge toh jataayenge
Abhi itna gaur karna
Ki tumse bewaqt be dastoor milne zaroor aayenge

Medhavi Medz
28.11.15

Comments

Popular posts from this blog

oas 🌸

neend 🌸