oas 🌸

Guzre huye lamhon ki oas,
Aaj aayeene par jami huyi dekhi, 
Gire huye do chaar lafz, 
Aur bhulaayi huyi yaadein, 
Kuch puraani tasveerein, 
Aur dohraayi huyi baatein, 
Ehsaas ajnabee to ho Gaye, 
Par paraaye nahin, 
Mulaaqaat to kehne ko ho gayi, 
Par woh laut ke aaye nahin.

Intezaar nahin, ummeed nahin, 
Na unse mohabbat Hai ab, 
Khud se naraazgi hai, nafrat bhi, 
Kyun na samajh sake hum tab, 
Behte rahe Nadi ki tarah unke jahaan mein,
Jo kehte woh maan lete thhe,
Aankhein moond Kar hum. 

Ab khuli Hain aankhein to tajjub karte Hain, 
Is oas par unka naam likh Kar mitaate huye,
Hum hum na rahe, waqt badal Gaya magar,
Woh na badle, na badli fitrat unki, 
Kitni milegi saza us ek faisle ki, 
Ki kabhi in nigaahon ne unko chuna Tha,
Duniya se jhagad Kar unhe apna banaya tha.

Mohabbat jab apni hi nazar mein gunaah ban jaati Hai, 
Ek pal mein hausalon ki tasveer toot jaati Hai, 
Saans aati Hai magar, jeene ka ehsaas nahin hota, 
Zindagi guzarti Hai magar, Waqt nahin guzarta.

Medhavi

Comments

Popular posts from this blog

ghum 🌸

neend 🌸