likhna🌸

Maine likhna chodd diya tha, Kyunki jhooth mujhse likha nahin jata tha,Aur sach uss se padha nahin jata tha. Woh aksar bahaane dusron ke deta tha,Par kabhi yeh nahin poochta tha,Ki aisa kyun likha?Kya tum itne dard mein ho? Main kya kar sakta hun tumhare liye ? Agar main yeh na karun toh kya tumhe Khushi hogi? Aaj likh rahi hun, kyunki pata hai ki woh yeh nahin padhega shayad kabhi, Aur jab bhi padhega, toh shayad samajh sake ki mujhe likhna pada kyunki usne kabhi suna nahin. -Medhavi 

Comments

Popular posts from this blog

oas 🌸

ghum 🌸

neend 🌸