talaash🌸

Maine dhoondha tum us har jagah, 
Jahan hum saath jaaya karte thhe, 
Maine ki khud se baatein laakhon, 
Wahan Jahan hum waqt guzaara karte thhe...

Sach kahun toh tumhari khushboo ab bhi hawa ke jhonkon ko mehka jaati hai, 
Aur tumhari aawaaz aksar mujhe sargoshiyon si mehsoos hoti hai...

Shayad tumhe kabhi pata na chale,
Ki tumhari talaash jaari hai meri raahon par na jaane kabse, 
Shayad yeh raahein kabhi na takraayein, 
Par bas ek aur mulaaqaat ki aas hai mujhe rab se...

Kyunki kehna hai tumse ki tumhe bhool chuki hun main, 
Bas tumhara diya dard bhulaaya nahin jaata, 
Kehne ko maaf kar chuki hun tumhe main,
Par tumhara dhokaa mitaaya nahin jaata...

Haan, dua nahin karti hun tumhare liye ab main, 
Par tumhare liye ab bhi kuch galat suna nahin jaata, 
Khwaab toot gaye saare tumko kho kar, 
Aur ab koi sapna bhi buna nahin jaata...

Comments

Popular posts from this blog

oas 🌸

ghum 🌸

neend 🌸