neend 🌸

Neend

Badda be - khauff hai dard yeh,
Bin dastak aa jaaya karta hai,
Ashqon ke libaas odh yeh,
Din raat jagaaya karta hai...

Aise mein jab Zara si khushi,
Parchaayi mein bhi dhundhlaati hai,
Ruk jaati hain saansein ab,
Jab zindagi yeh muskuraati hai...

Aadatein tanhaayiyon ki ab, kisi ke saath ki mohtaaj nahin,
Jab aati hain liye koi vaada, toh dil kehta hai aaj nahin...

khaamoshi ki lau mom se choo kar Zara si ladkhadaati hai,
Jab koi haath pakadta hai toh saath chhootne ka darr badhaati hai,
Guzra hua waqt jo ab tak beeta nahin,
Usmein thamme huye toote vaadon ki yaad dilaati hai...

Ab tum ho zindagi mein toh neend aane se ghabraati hai,
Yeh haqeeqat badal Na jaaye kal iss darr mein raat bitaati hai,
Neend aa jaaye toh phir khwaab dekhne se bhi ghabraati hai,
Yeh khwaab Na toot jaaye iss darr mein kahan neend aati hai....

Medhavi

Comments

Popular posts from this blog

oas 🌸

ghum 🌸