Posts

🫧tere jaane ke baad

Tere jaane ke baad,  Bahut logon ke saath hansi main,  Par khushi ka ehsaas hua hi nahin.  Tere jaane ke baad,  Bahut logon ne pyaar jataaya mujhse,  Par yeh aankhein bhi jhapki nahin.  Tere jaane ke baad,  Bahut logon ne haath pakda mera, Par rekhaayein kisi se judd na saki.  Tere jaane ke baad,  Bahut logon ne chhua mujhko,  Par yaad meri rooh ko ek bhi nahin.  Tere jaane ke baad,  Bahut logon ki shayad huyi main, Par mera koi kabhi hua nahin.  Tere jaane ke baad,  Tukde huye mere anginat,  Par mere siva kisi ko chubhe nahin.  - Medhavi  02/09/24

👤shayari

👤Dr. Medhavi: Kyun jodte ho tum toote tukde mere dil ke,  Ijaazat toh maine tumhe apne dil mein jhaankne tak ki na di thi.  - Medhavi 👤Aaj tumhe mehsoos kiya meri rooh ne,  Aur phir suna tumse hi,  Ki hamara saath mumkin nahin.  - Medhavi 👤 Na intezaar tha, na ummeed thi,  Phir bhi aisa lamha tu de gaya mujhe,  Jo tere jaane ke baad bhi guzarta nahin.  - Medhavi 👤Main bahut koshish karti hun,  Tumhare Ishq mein na paddne ki,  Aur phir tum muskura dete ho.  - Medhavi 👤Main ab bhi giraftaar hun teri us ek nigaah mein, Jo be-takalluff tune mujhe shayad khairaat mein di thi.  - Medhavi 👤Na-ummeed Dil ki gustaakhi toh dekho,  Tumhe dekh har nazar yeh ek naya khwaab bunta hai .  - Medhavi 👤Na tootne ka khauff hai,  Na phir bhikharne ka ghum hai,  Bas ek afsos hai itna sa,  Ki tere saath guzra waqt bahut kam hai.  - Medhavi 👤Main puchti hun bahut kuch,  Tumhare jawaab adhoore hote hain, ...

🫧gali

Dhundha tujhe un sab galliyon mein jahaan jahaan ummeed thhi Pukaara tujhe chilla chilla kar par shayad mere hausalon mein kami thhi Sun raha hai tu mujhe Shayad dekh bhi raha hai  Teri uss duniya mein shayad Yeh sab mumkin har tarah hai Par soch kabhi mera bhi Hun main yahan be-ummeed Sab pooch rahe hain mujhse Aur main keh rahi hun sab theek Sambhaalna hai tere apnon ko par mujhe sambhaalne wala koi nahin Na jaane neend kab aayegi Na jaane kab chain milega Itni thhi baatein kehne ko  Par tune suna hi nahin... Naraaz Hun tujhse aur khud se kar rahi hun nafrat be - intehaan main Yeh soch soch ki woh aakhiri baar tujhse baat Na ki thhi maine Bahut se kaash hain jin mein ab zindagi bitaani hai  Jo Na jaan sake tujhe unhe Teri kahaani sunaani hai  Par ek khauff sa ho gaya hai zindagi se  Tere bin jeene se ghabraata hai yeh dil Kho gaye saare raaste Gumshuda si ho gayi kuch aise manzil.. -Medhavi R.i.p Abhi

👤Dilli

Kyun achcha lagta hai tumhe Dilli ?  Itna unsafe hai, itna traffic, itne uncivilised log !  Dilli, kahan se shuru karun?  Mujhe Dilli ke dhalte mausam pasand hain,  Kyunki har mausam mein Dilli kuch alag lagta hai,  Har maheene, har saal, iska har rang badalta hai Mujhe Dilli ke makbare aur baoli pasand hain, Inko dekhne kitni bhi daffa jaaun, mann nahin bharta hai Mujhe Central Dilli ki khaaskar, saari sadkein pasand hain,  Chalte chalte waqt ka pata hi nahin chalta hai Mandi House mein har din chalti firti, banti bigadti anginat kahaaniyaan pasand hain,  NSD, Bengali Market, Triveni, Chinese Van, in sab mein kahin na kahin mera bachpan palta hai Mujhe Dilli ki bus-on mein ghoomna pasand hai,  Aur metro mein gaane sunte huye chalna pasand hai, Public transport lo toh har din aasaan lagta hai Lotus Temple ka sukoon, Qutub Minar ka view, Ghalib ki haveli, aur Sundar Nursery ki vibe, Cathedral Church ki candles, Bangla Sahib ka kada prasad, Hanuman ...

🫧neeche ka kamra

Woh neeche ke ghar ka kamra jo aksar bandh rehta hai,  Usmein ab bhi tumhari kuch khushboo baaki hai,  Woh purse jo tumne mere is janamdin pe diya tha, Usmein ab bhi tumhari rakhi chilladd baaki hai... Woh glass jismein tumne aakhiri baar paani piya tha,  Ab bhi mere sirhaane rakha hai,  Woh chota sa showpiece jo tumne kamre mein lagaya tha, Woh kaanch ke darwaaze se aksar mujhe dekhta hai...   Woh windchime jo tumne pichli Diwali pe di thi,  Uski aawaaz ab bhi mere kamre mein goonjti hai, Woh chaabi taangne wala jo tum Jaipur se laaye thhe,  Usmein ab meri meri chaabiyaan khanakti hain... Mere har din ki kisi na kisi baat mein tumhari yaadein saanson ki tarah saath saath chalti hain,  Tumhare us faisle par har din mujhko kuch aur jhanjhodti hain, daant-ti hain, samjhaati hain... Ki woh aakhiri postcard jo tumne Spiti se bheja tha,  Jispe tumne likha tha ki tum mera saath kabhi nahin chodoge, hum hamesha saath rahenge,  Tumhari saari baa...

🫧gaane

Hum aksar gaano ke zariye baatein karte thhe,  Aur phir ek din, hum alag ho gaye,  Mere sur, jaise mere honthon ko chodd gaye,  Mera zehen, kisi gaane ko ab sunta nahin,  Uske diye zakhm meri had dhadkan todd gaye,  Koi lafz, koi saaz dil tak ab pahunchta nahin... Kahaani ghazalon ki, geeton ki baaton ki,  Kishore, Rafi, Kuhad, Anuv aur Trivedi ki,  Shayari Faiz, Rumi ki, kavitayein Bashir ki,  Sab mujhse roothi yun jaise meri pasand hi na thi... Ab main gaane sunti nahin,  Khaali rakha hai dil ka makaan sab saazon se, Kyunki shor mere mann ka maun hota nahin,  Usko bhulaana hai, mitaana hai jazbaaton se... Woh sunta hai ab bhi, gungunaata bhi hai,  Har lafz jo sune woh, mujhe yaad aata bhi hai,  Par faaslon ka faisla uska hi hai,  Aur mohabbat ka aakhiri karz yeh dil chukaata bhi hai... Bhool jaayenge usay, yeh koi shart na thi,  Yaad aayenge usay, itni toh aukaat hamari bhi hogi,  Guzar jaayega yeh waqt, waqt k...

talash

Talaash Ek arsa guzar gaya khul ke hasse huye. Na jaane kab khushi ke khauff mein rehne ki aadat padd gayi. Ab bhool jaate hain kabhi kabhi ki zinda bhi hain. Phir mehsoos karte hain ki saansein chal toh rahi hain. Hairaani ki hai baat ki sabko yaad mera Wajood hai, par kisi ko dikhta nahin ki in aankhon mein toote khwaabon ke alaawa aur kuch bhi nahin. Udaasi se kar li hai dosti kuch iss tarah ki khushi ke mukhautte ke peeche uska naam o nishaan dikhta nahin. Har subha jab aankhein kholti Hun, toh dhundhlaayi si zindagi dekh khud par hansti hun. Lagta hai chalo ek aur din aaya hai, jee kar dekhte hain. Ummeed toh kab ki chorr di, dhokhe ka bhi ab darr nahin, bas yun hi pehne ek mukkammal insaan ki poshaak, yahi soch phir hum Ghar se nikal jaate hain. Din guzar jaata hai kuch kaam mein, toh kuch aaraam mein, par ummeedein dene ka yeh silsila ab bhi jaari hai. Khud ko khud se ummeed nahin aur har din Na jaane kitni zindagiyon ko samajhne ki koshish main karti Hun. Achcha lagta hai jab l...