mausam
Hum phir na milein agar,
Toh yeh baatein yaad rakhna,
Sardiyon mein haath pakad kar,
Humne bahut raaste tayy kiye thhe,
Basant ritu ki thandi hawa mein,
Nadi kinaare hum tum chai piye thhe,
Garmiyon ki shaamon mein,
Hum lambi drives pe gaye thhe,
Barsaat mein ek hi rickshe par,
Hum dono aadhe-aadhe bheege thhe,
Patjhad na dekh paaye hum tum,
Par har mausam saath dekhe humne,
Aur patjhad theher sa gaya kuch yun,
Ki alag ho gaye raaste aur hum tum,
Yaad rakhna ki har mausam mein,
Main tumko yaad aaungi kuch yun,
Ki sardiyon ki hawayein kuch aur chubhengi,
Basant ke phoolon se khushbu gum rahegi,
Garmiyon ki dhoop mein parchaayi akeli lagegi,
Barsaaton mein mann ki zameen na bheegegi,
Main yaad aaungi tumhe waqt bewaqt yeh yaad rakhna,
Hum saath rahein na rahein, tum humein yaad rakhna.
Medhavi
Comments
Post a Comment