Posts

Matlab...

Aadhi raat ko pyaar jataate hain Aur phir kahin aap gum ho jaate hain Kya daastaan sunaayenge aap humko Hum aapko aap hi ka afsaana sunaate hain Jab hote hain aap tanha Toh yaad hamari aati hai Warna maujoodgi bhi hamari Aapko choo kar guzar jaati hai Saath reh kar paas aa na sake aapke Kisi bhi Baat se dil chura na sake aapka Hum bhi haar gaye Hamara pyaar bhi haar gaya Aapke aage aitbaar bhi haar gaya Ab ummeed na karein Toh bhi takleef ho Ummeed baandh lein Toh dil ke nazdeek ho Phir dil dukhaaoge Ya humko aazmaaoge Hum toh yahin khadde rahenge Intezaar mein Kabhi pyaar ho jaaye tumhe bhi Toh bata dena Iss zindagi ka koi matlab Shaayad uss din humko bhi mil jaayega Medhavi 24.11.15

Neend..

Neend ka pata uss waqt kho gaya Jab aankhein khul gayi aur Haqeeqat saamne aa gayi... Diya bujh gaya Andhera ho gaya Kehne ko thhi mohabbat ki parchaayi Ek jhonka sa sang laayi Zara si hawa chali Aur ek pal mein sab lutt gaya... Medhavi 24.11.15

😒Keep faith...*

Life gives you many reasons to break down.. When your friends betray you.. when your family discourages you.. when you fail an exam.. when you lose an asset.. when you lose a person.. when someone breaks your heart.. adding up to so many more reasons, life tries to knock you down. At times, it becomes difficult to find even one positive ray of light, one reason to survive, one single hope... you have friends, but you don't have the person you need to talk to.. you have an ambition, but so many influential people want you to choose a different path.. you have dreams, but you are forced to live them in slumber.. so many pressures, so many responsibilities, life has become like this or was always like that ? You get your lessons the harder way and believe that yes, now nobody can hurt you or fool you or play around, but again the similar or worse thing happens and you ask why ? you know.. somewhere you too know the answer, it is because god knew that you didn't learn...

Shikast

Hai koi itna apna aur phir bhi kitna begaana Kuch adhoora kuch mukkammal sa yeh afsaana Bujhaane ko shamaa ko haath jalaane bhi padde Barsaat mein phir apne kapde bhigaane bhi padde Bachaate aaye tujhe ghum ki parchaayiyon se bhi Aur chupke se kahin hum khud ko gawaate bhi rahe Jab laga ki mohabbat yeh meri jeet gayi Toh waffa ki bhi ummeed khokhli nikli Shikast mili bhi mujhko uss kinaare par Jahan ek ghar banaane ka khwaab maine dekha tha.... 19.11.15 Medhavi

Revise. Raah...

Ho tum aadat ya mera junoon ho Dard ki wajah ya mera sukoon ho... Faasla chahti hun par judaayi se darti hun Khaamoshi chahti hun par tanhaayi se darti hun... Jaa rahe ho tum dooor mujhse Kuch yeh dil ghabraata bhi hai Aana hai laut kar paas mere hi Yeh khud ko dil samjhaata bhi hai... Kab bandh gayi dor yeh saanson ki tumse pata na chala Iss khayaal mein yeh dil waqt guzaarta bhi hai Tumhari kami khalegi yeh jaanta bhi hai Tumhari mohabbat saath rahegi yeh maanta bhi hai... Phir bhi dil karta hai tumhara haath pakad kar rok lun Tum ja na sako, koi bahaana bana ke rok dun Par kahin na kahin yeh bhi haqeeqat ke aayeene mein dikhta hai Ki dooori se jo beasar ho kuch aisa hamara rishta hai... Toh jaao mujhse dooor tumhe de di maine arzi Yaad karna mujhe ya bhool jaana tumhari marzi Bas itna rakhna khayaal ki koi hai tumhare intezaar mein kahin bahut dooor Jo har raat tumhara khwaab liye sota hai Jo tumhe yaad kar kar har dusre lamhe rota hai Aur koi jo tum...

Ae Dost...

Zara dekh lo mudd ke humko bhi Hain ab bhi ek shaqs ya kharch hua waqt tumhara Kuch baaki hain aur kuch barbaad bhi hain Kuch besharam se ab bhi bache khwaab bhi hain Muskura rahe hain aise jaise kuch hua na ho Dard ne jaise kabhi iss dil ko chua na ho Ab nigaahon tak ki raah khushi ko yaad nahin Aage badhenge kal par aaj nahin Ho raha hai fanaa zarra zarra mohabaat ki aag mein Aur tum kehte ho ae dost ki tum humein yaad nahin... Medhavi 18.11.15

Hai bhi aur nahin bhi..

Hai bhi aur nahin bhi.. Woh hawa hai jo choomti hai Aur woh bhi hawa hai jo aandhi ban khanronchti hai... Woh adaa hai jo dil churaati hai Aur woh bhi adaa hai jo dil dukhaati hai... Woh dard hai jo aankhein bhar deta hai Aur woh bhi dard hai jo jism chheelta hai... Woh pyaar hai jo har khwaab sach kar deta hai Aur woh bhi pyaar hai jo har khwaab toddta hai... Woh izhaar hai jo choo jaata hai ek hi nazar mein Aur woh bhi izhaar hai jo bayaan ho kar bhi ankaha hai... Woh khushi hai jo aankhein nam kar deti hai Aur woh bhi khushi hai jo jaan le jaati hai... Haar woh bhi hai jo jeet se hai badhkar Aur haar woh bhi hai jo khatm kar deti hai ummeed ki seher... Woh yakeen hai jo ummeed deta hai Aur woh bhi yakeen hai jo baar baar toot ta hai... Hai kitna kuch ek sa Phir bhi wajood hain alag kyun Zindagi hai aazaad yeh Phir har modd par sarhad kyun... Jawaab agar hai har sawaal ka Toh phir talaash hai kis ki Khud par hai yakeen agar ...