Shikast

Hai koi itna apna aur phir bhi kitna begaana
Kuch adhoora kuch mukkammal sa yeh afsaana
Bujhaane ko shamaa ko haath jalaane bhi padde
Barsaat mein phir apne kapde bhigaane bhi padde
Bachaate aaye tujhe ghum ki parchaayiyon se bhi
Aur chupke se kahin hum khud ko gawaate bhi rahe
Jab laga ki mohabbat yeh meri jeet gayi
Toh waffa ki bhi ummeed khokhli nikli
Shikast mili bhi mujhko uss kinaare par
Jahan ek ghar banaane ka khwaab maine dekha tha....

19.11.15
Medhavi

Comments

Popular posts from this blog

oas 🌸

ghum 🌸

neend 🌸