Posts

Shikast

Hai koi itna apna aur phir bhi kitna begaana Kuch adhoora kuch mukkammal sa yeh afsaana Bujhaane ko shamaa ko haath jalaane bhi padde Barsaat mein phir apne kapde bhigaane bhi padde Bachaate aaye tujhe ghum ki parchaayiyon se bhi Aur chupke se kahin hum khud ko gawaate bhi rahe Jab laga ki mohabbat yeh meri jeet gayi Toh waffa ki bhi ummeed khokhli nikli Shikast mili bhi mujhko uss kinaare par Jahan ek ghar banaane ka khwaab maine dekha tha.... 19.11.15 Medhavi

Revise. Raah...

Ho tum aadat ya mera junoon ho Dard ki wajah ya mera sukoon ho... Faasla chahti hun par judaayi se darti hun Khaamoshi chahti hun par tanhaayi se darti hun... Jaa rahe ho tum dooor mujhse Kuch yeh dil ghabraata bhi hai Aana hai laut kar paas mere hi Yeh khud ko dil samjhaata bhi hai... Kab bandh gayi dor yeh saanson ki tumse pata na chala Iss khayaal mein yeh dil waqt guzaarta bhi hai Tumhari kami khalegi yeh jaanta bhi hai Tumhari mohabbat saath rahegi yeh maanta bhi hai... Phir bhi dil karta hai tumhara haath pakad kar rok lun Tum ja na sako, koi bahaana bana ke rok dun Par kahin na kahin yeh bhi haqeeqat ke aayeene mein dikhta hai Ki dooori se jo beasar ho kuch aisa hamara rishta hai... Toh jaao mujhse dooor tumhe de di maine arzi Yaad karna mujhe ya bhool jaana tumhari marzi Bas itna rakhna khayaal ki koi hai tumhare intezaar mein kahin bahut dooor Jo har raat tumhara khwaab liye sota hai Jo tumhe yaad kar kar har dusre lamhe rota hai Aur koi jo tum...

Ae Dost...

Zara dekh lo mudd ke humko bhi Hain ab bhi ek shaqs ya kharch hua waqt tumhara Kuch baaki hain aur kuch barbaad bhi hain Kuch besharam se ab bhi bache khwaab bhi hain Muskura rahe hain aise jaise kuch hua na ho Dard ne jaise kabhi iss dil ko chua na ho Ab nigaahon tak ki raah khushi ko yaad nahin Aage badhenge kal par aaj nahin Ho raha hai fanaa zarra zarra mohabaat ki aag mein Aur tum kehte ho ae dost ki tum humein yaad nahin... Medhavi 18.11.15

Hai bhi aur nahin bhi..

Hai bhi aur nahin bhi.. Woh hawa hai jo choomti hai Aur woh bhi hawa hai jo aandhi ban khanronchti hai... Woh adaa hai jo dil churaati hai Aur woh bhi adaa hai jo dil dukhaati hai... Woh dard hai jo aankhein bhar deta hai Aur woh bhi dard hai jo jism chheelta hai... Woh pyaar hai jo har khwaab sach kar deta hai Aur woh bhi pyaar hai jo har khwaab toddta hai... Woh izhaar hai jo choo jaata hai ek hi nazar mein Aur woh bhi izhaar hai jo bayaan ho kar bhi ankaha hai... Woh khushi hai jo aankhein nam kar deti hai Aur woh bhi khushi hai jo jaan le jaati hai... Haar woh bhi hai jo jeet se hai badhkar Aur haar woh bhi hai jo khatm kar deti hai ummeed ki seher... Woh yakeen hai jo ummeed deta hai Aur woh bhi yakeen hai jo baar baar toot ta hai... Hai kitna kuch ek sa Phir bhi wajood hain alag kyun Zindagi hai aazaad yeh Phir har modd par sarhad kyun... Jawaab agar hai har sawaal ka Toh phir talaash hai kis ki Khud par hai yakeen agar ...

Neend

Neend aayegi kaise, Khwaab se bhi ab darr lagta hai, Ek aayeena hai saamne bhi, Aur haqeeqat se bhi darr lagta hai... Jo baat kahi nahin kabhi, Uss baat ka afsos hai kyun, Lamha lamha kare bewaffai, Ae dil tu maayoos hai kyun... Naam tera hai saans saans par, Khushbu ka wajood liye ab bhi, Ab kya ummeed main rakhun, Bandh ho gaye darwaaze sabhi... Roshni ka suraag nahin, Andheron se ghabraata hai dil, Sab jaanta pehchaanta hai, Phir bhi kyun baaton mein aata hai dil... Phir aa gayi laut kar, Yeh lambi raat mere kareeb, Phir aa gayi kharonchne, Khayaalon ke woh zakhm... Apni hi neend ki fariyaad ab, Karne lage khuda se hum, Kuch armaan nahin waise, Kuch khaffa bhi khuda se hum... Uddne ka na socha thha kabhi, Zameen par paanv rakhe thhe, Na jaane kab meri zameen bhi, Meri hi parchaayi se paraayi ho gayi... Neend neend ka dosh hai saara, Tumhe chain ki, Mujhe naam ki, Tumhe khwaabon bhari, Meri khayaalon se dari dari si, Par ek sukoon ...

Sukoon..

Dil itne zarron mein toot kar bikhar gaya, Pata sukoon ka aaj khud se kho gaya, Na jaane kab ab neend humko aayegi, Na jaane kaun si subha phir se jagmagaayegi... Be-kasoor thhe hum ya majboor thhe, Hum toh bas teri nigaahon ke nashe mein choor thhe, Tune jo raah dikhaayi, Hum aankhein moond chalte rahe, Tune aag di ya chingaari, Hum pal pal bas pighalte rahe, Aaj jab tera hi saath choot gaya, Laga jaise koi mere saamne mera sab loot gaya, Tere saamne khadde bas hum muskuraate rahe, Tujhko khabar bhi nahin kitna kuch mujhmein toot gaya... Medhavi 12.11.15

🎈Ghum

भागती  रही  बंजरों  की  ओॅर ,  बहार  की  उम्मीद  ले  कर , अंजान  हाकीकतों  से , ज़लजलों  की  भीड़  ले  कर ... टूट  गया  हर  भ्रम , एक  दफा  बस  टकराने  से , छू  गया  एहसास  फिर , बरसात  का  सेहराओं  से ... चुभने  लगी  हवायें , खारोंचने  लगे  उजाले , गम  की  परछाई  ले , फिर  हुए  दर्द  मेरे  हवाले ... खुद  को  झोंख  भी  डाला , फिर  भी  कुछ  ना  उसको  भाया , ज़िन्दगी  ने  फिर  झटके   से , मुझसे  हाथ  यूँ  चुडाया ... -मेधावी  12.11.15