Posts

Pending.Ek mulaqaat...

Ek mulaaqaat ke intezaar mein Na jaane kitni seher dastak de gayin Na jaane kitni shabh dhal gayin... Hasraton mein rang bharta gaya Aur Rangon mein noor utarta gaya Noor mein nakkaashi hoti rahi tere ehsaas ki Nakkashiyon mein ghulti gayi teri mithaas si... Ab woh ek mulaaqaat na jaane hogi kab Khatm ho gayi wajahein aur bahaane sab Kuch paane ya khone ko nahin lekin Phir bhi daav lagaaye dil hum baithhe hain Samajhne samjhaane ko kuch nahin hai Phir bhi uss ki ummeed lagaaye baithhe hain... Medhavi 05.06.15

Look back... (School Life)

This is for all those.. who miss school.. Hope u like it Those summer evenings When the tan was a compliment Those winter mornings When the layers defined strength Those crowded corridoors With a hundred stories Those back benches With so many mischiefs Those games of 'catch me if u can' Which defined the 'winner'... Those Lunch Breaks Which taught us sharing Those long two periods of the same subject Playing football With a plastic bottle... One class and many monitors One for Blackboard, other for the duster One for discipline, another for attendance One class and many stories One for gossip, other for a fight One of love, another of Unity... The PTA meetings and the result days The yellow cards and external memos The Basketball matches and the madness To defeat 'Modern' for sure, no matter... The school picnics, the dress codes A hundred stories taking a single twist The early morning bus timings The last per...

Ek raat

Ek raat thhi Zaraa aadhi Zaraa poori si Andhera tha kuch Aur kuch roshni sindoori si Kuch lafz idhar ke thhe Kuch udhar ke toote huye se Kuch lamhe ateet ke Kuch aane wale kal ke adhoore se Kuch naghme Kuch nazmein thhi Kuch saamne Kuch parde ke peeche thhi Dabi si kuch muskuraahatein Ubhri huyi si aahatein Hawa ki bhi aawaaz sunaayi dene lagi Ki aaj tanhaayi aawaaz dene lagi Medhavi 04.06.15

Para Teri yaad ki bimaari (Hindi Article)

तेरी याद एक ऐसी बीमारी बन गई है, जो ना जीने देती है ना मरने देती है. दिन रात तेरी कही बातें, तेरे वादे मुझे सुनाई देते हैं, हर जगह मेरा पीछा करते हैं. गैर चेहरों में ना जाने क्यूँ और कैसे मैं तेरी एक झलक ढूँढ ही लेती हूँ, और यूँ ही बिना बात के अजनबी लोगों पर मुस्कुरा देती हूँ. मेरी इस दीवानगी का कोई वजूद नहीं है, ना आज में, ना आने वाले कल में, ना मेरी ज़िंदगी में, ना तेरी ज़िंदगी में. मैं भूलना चाहती हूँ मगर हर लम्हे में, हर हवा के झोंके की तरह तेरा एहसास मेरी रगो में ज़रा और उतर जाता है. तेरे बदन की खुश्बू अब भी मेरे बदन की सिलवटों से आती है. मैं खुद को कई बार सॉफ कर के देख चुकी हूँ पर तेरी यादों का रंग मेरे जिस्म की परछाई तलक उतार चुका है. मैं पीछा छुड़ा-उँ भी तो कैसे, तेरी हर हरकत मेरे ज़हेन की हर ओर बिखरी हुई हैं. सब सामने है मेरे, तू धोकेबाज़ है, तूने दिल तोड़ा है मेरा, फिर क्यूँ तेरे लिए यह मोहब्बत कम नहीं होती, फिर क्यूँ यह आरज़ू ख़तम नहीं होती. मैं हर दिन एक नयी आस लिए उठती हूँ, उस आस के दो पहलू होते हैं, एक यह की शायद आज तुझे भुला पा-ऊँ, और दूसरा कि शायद आज, काश मैं तुझे...

woh bhram aaj bhi na toote...

Teri yaadon tak pahunchne ki seedi, har khayaal mujhe baar baar deta hai. Main bhoolna kuch chahti hun tujhko, par phir tera naam har manzar pukaarta hai. Aaj phir main Rajiv Chowk Metro Station ke CCD par ruk gayi. Na jaane kiska intezaar kar rahi thhi. Phir ehsaas hua ki yeh intezaar toh pichle do saal se har baar issi jagah meri aadatein dohraati aayi hain. Kayi baar lagta hai ki teri soorat kuch bhool gayi hun main, par aankhein har baar bandh karne par tera hi chehra saaf saaf nazar aata hai. Main har din kuch aur tujhse mohabbat kar baith-ti hun. Nafraton ki wajahein bahut hain, phir bhi samjhaute kar leti hun. Tujhse mohabbat karna jaise ibaadat si ban gayi hai, jo har roz main khuda se karti hun. Teri khairiyat ki fariyaad aur tujhse akele mein ghanton baatein main aksar karti hun. Tu har jagah, har peher mein mere saath saath chalta hai. Kabhi main ladkhadaati hun toh tera hi haath mujhe pakadta hai. Kayi baar jab main muskura kar peeche palat-ti hun toh teri kami mujhko kha...

Phir uss raat si

Har raat ki taqdeer Woh ek raat likh gayi Meri kismat se teri lakeer Dhundhlaate huye mitt gayi... Ab bhi shor hai waisa hi Aur khaamoshi bhi waisi hai Ab bhi dard hai waisa hi Aur hassi bhi waisi hai... Bas mehfilein badal gayi hain Tanhaayiyaan badh gayi hain Ghazalein likhne lagi hun Jhootha hansne lagi hun... Ab bhi chaand mujhko Khoobsurat pehle sa lagta hai Ab bhi kahin intezaar Koi chupaa hua zarra sa karta hai... Ab bhi dua-on mein Naam tera yeh dil dohraata hai Phir khaali hatheliyon se Khud ke ashq bhi ponchtaa hai... Tu bekhabar toh nahin Kyunki yeh hawaayein tujhko bhi chooti hain Yeh dhoop tujhe bhi garm karti hain Yeh baarishein tujhko bhi bhigoti hain... Par shaayad hawa tujhe choo kar bhi Kahin dhoke mein reh jaati hain Tujhe toh lautna na thha kabhi Ab hawaayein bhi bewaffa si lagti hain... Ab dhoop yeh shaayad tujhko nahin Bas mujhko hi jalaati hai Aur baarishein bhigoti hain magar Rag rag nam kar jaati hain... ...

🤗|Taareekh|

Khwaabon ki kissi bisre panne par Aaj ke din ke laut aane ka khayaal bhi hai Tum bhool gaye shaayad Par aaj ki taareekh par hi Humne tumhe poori tarah khoya tha... Medhavi 29.05.15