woh bhram aaj bhi na toote...

Teri yaadon tak pahunchne ki seedi, har khayaal mujhe baar baar deta hai. Main bhoolna kuch chahti hun tujhko, par phir tera naam har manzar pukaarta hai. Aaj phir main Rajiv Chowk Metro Station ke CCD par ruk gayi. Na jaane kiska intezaar kar rahi thhi. Phir ehsaas hua ki yeh intezaar toh pichle do saal se har baar issi jagah meri aadatein dohraati aayi hain. Kayi baar lagta hai ki teri soorat kuch bhool gayi hun main, par aankhein har baar bandh karne par tera hi chehra saaf saaf nazar aata hai. Main har din kuch aur tujhse mohabbat kar baith-ti hun. Nafraton ki wajahein bahut hain, phir bhi samjhaute kar leti hun. Tujhse mohabbat karna jaise ibaadat si ban gayi hai, jo har roz main khuda se karti hun. Teri khairiyat ki fariyaad aur tujhse akele mein ghanton baatein main aksar karti hun. Tu har jagah, har peher mein mere saath saath chalta hai. Kabhi main ladkhadaati hun toh tera hi haath mujhe pakadta hai. Kayi baar jab main muskura kar peeche palat-ti hun toh teri kami mujhko khalti hai. Main din raat tujhe soch soch zindagi ko aage badhaati hun. Jab jab thak jaati hun, toh teri hi aas khud ko deti hun. Tu aayega, tujhe aana hi hoga, yeh baar baar khud se kehti hun. Phir khuda se sawaal karti hun, mohabbat banaayi kyun agar manzilein adhoori hi chorni thhi. Jawaab dhundh rahi hun kabse, tujhse, khuda se. shikaayatein bhi hain, shikve bhi hain, par lagta hai jab tujhse saamna hoga, toh na jaane kya hoga. Kya main tere saamne se ajnabiyon ki tarah guzar jaaungi, ya pehle ki tarah bas tujhse yun hi baatein kar paaungi? Kya khud par itna ikhtiyaar rahega mujhko, ki tujhse door main uss pal reh paaungi? Kya tera haath phir se pakad kar khud ko yakeen dilaaungi, yeh khwaab nahin, haqeeqat hai, ki tu mere saamne hai aaj? Ya tujhe chhoo kar, aankhein bandh kar lungi, ki yeh khwaab aaj na toote. Mohabbat ka jo bhram liye jiye ja rahi hun, woh bhram aaj bhi na toote.

Medhavi

27-11-14

Comments

Popular posts from this blog

oas 🌸

ghum 🌸

neend 🌸