Posts

Showing posts from 2022

intezaar🌸

Kuch tera intezaar hai  Kuch dil yeh be-ikhtiyaar hai Kuch gali yeh mehek rahi hai Ek sadi bin tere guzar gayi hai Bhooli nahin hun ab bhi Tere jism ki woh khushboo Teri aawaaz ki woh narmi Teri baaton ka woh jaadu Aur saanson ki woh garmi Neendon mein muskuraati rahi Tere khwaabon ko jagaati rahi Is tarah deewanon ki tarah Main har din bitaati rahi Ab tere aane ki khabar jo mili Yakeen de raha hai dhokaa sa ab bhi Tujhe choo kar dekhungi toh aitbaar hoga Tu hai sach mein nigaahon ki haqeeqat Vehem mein dekha hi nahin bas tujhe Tujhe baahon mein bhar kar neendein bhi haasil ki Ab tu hoga jab mere kareeb  Toh gum ho jaayengi yeh neendein bhi Kayi ghante toh teri aawaaz zehen mein kaid karne mein lagenge Kayi din toh tujhe nigaahon mein bharne mein lagenge Phir jaa kar tere hone ka yakeen hoga Woh manzar na jaane kitna haseen hoga... Medhavi

sher 🤞

Aaj raat ka chaand dekh kar,  Tumhara khayaal be-waqt aaya,  Dil mein aaya tumhari koi tasveer dekhun,  Kyunki bas pyaar tum par be-wajah aaya... Log kehte hain ki mohabbat waqt ke saath dhundhli padd jaati hai,  Par tumhare liye bekaraari har saans ke saath kyun badh jaati hai? Tumhara intezaar jaise aadat ban gayi hai,  Mohabbat hi thi, par ab ibaadat ban gayi hai... 🌸Har saans ke saath guzarta hui zindagi khaali lagti hai tumhare bina,  Na jaane kaise itni saansein zindagi ne gin li tumhe jaane bina... 🌸Ek din koi aur unko humse badh kar bhaa gaya,  Koi ek pal mein aa ke mera naam tumhari zindagi se mitta gaya,  Socha tha koi na le sakega jagah meri zindagi mein tumhari,  Par woh ek shaqs saara bhram, saari ummeedein todd gaya meri... 

I'm changing 🌸

I have always lost people because I loved them too much. I feel that my love becomes suffocating after a point of time.  I analysed myself a lot and found this fault in me. So, I'm working on myself and from now on not forcing anything in life. Neither friendships, nor relationships.  I have also learnt that people will leave me when they have to, so by being insecure or unsure about losing them or keeping them in my life would only stress me out.  So it's better that I give everyone around me the space they want. And all the space that I can. If they value me, they'd understand things and talk about things before this space turns into a void and I learn to live without them and simply stop depending upon them for anything.  I have been emotionally dependent all my life. On my mom, the guys I dated, a few friends and trust me, except my mom and a few friends, almost everyone has let me down and told me that why do you do so much ? Why do you make so much effort ? Why are yo

out of love

When did you fall out of love ?  Was it the moment when we fought for three days straight ? Or the day when I was busy and made you wait ?  Was it the moment you realized that you wouldn't lose me ? Or the day when I begged before you to not leave me ? Was it the moment you lost all the respect for me ?  Or the day when you stopped to expect anything from me ?  Was it the moment when someone else took my place ?  Or the day when all you needed from me was space ?  Was it the moment you thought life could be better without me ?  Or the day when you questioned why you even chose me ? Was it the moment when you couldn't even like the real me ? Or the day you saw someone else who was prettier than me ? Was it the moment when you touched me and it felt the same ? Or the day you felt different and never felt like seeing me again ?  Was it the moment when you knew you had to leave but didn't ? Or the day you felt you had to tell me all this but couldn't ?  Yes, there are no wh

kismat. ✌️

Har din zara khote, zara paate hain tumko, Par ab bhi har daffa jeetna chahte hain tumko, Yeh saansein ab bhi tumhe dekh tham jaati hain, Tum jo choo lo toh ab bhi dhadkanein jam jaati hain, Haan, ab bhi paagal hain tumhare liye tumko paa kar bhi,  Tumhe khone ke darr se ab bhi neend toot jaati hai, Haan, tum saath ho, par yakeen nahin aata kabhi kabhi, Kyunki kismat aksar mujhe khushi de kar rooth jaati hai... - Medhavi Nov 7' 2022

miss you🌸

Hey,  I miss you !  I miss the jokes you made over and over just to hear me laugh,  I miss the Maggi you made for me when I was down with fever,  I miss the extra butter you smeared on my toast every morning, I miss the impromptu marketing ads you did to sell me anything, I miss the fact that you were my biggest fan,  I miss your vivid observations about my pictures,  I miss being introduced by you to people, I miss you blabbering about me like I was some celebrity. But, then I remember how I missed  seeing things beyond all this, How I missed observing your changed behavior,  How I missed catching your lies when you fooled me, How I missed understanding the reasons you betrayed me,   How I missed seeing your intentions behind that smile, How I missed hearing your heart all that while,  How I didn't see it coming that you'd choose her over me, How I didn't see that you were no longer in love with me.  But, yes, I miss the good times,  The conversations, the jokes, the film

justajoo✌️

Meri zindagi mein agar teri maujoodgi yun hi rahe,  Mohabbat mein koi bojh na ho aur saadgi yun hi rahe,  Toh ghum ko shayad mere zehen ka pata hi na miley,  Aur justajoo har din sirf tere liye hi rahe !  I love you ♥️

badnaami 🌸

Ek din usne kaha,  Ki shayari tumhari badnaam karti hai mujhe, Burre waqt ke sirf ilzaam deti hai mujhe,  Par woh bhool gaya,  Par woh bhool gaya,  Ki uske naam jo nazmein likhi thi,  Jo ghazalein likhte meri raatein na thakti thi,  Woh usne kabhi padhi nahin,  Ya shayad padhi bhi toh samjhi nahin,  Usay sirf ilzaam yaad rahe,  Meri mohabbat nahin, Usay bas badnaami ka darr tha,  Mujhe khone ka nahin,  Ab main likhti hun pehle ki tarah,  Kyunki ab woh meri shayari padhta nahin,  Sahi bhi hai uske liye, Kyunki ab yeh kaagaz uske lafzon se sajta nahin, Adhoora hai har lafz bhi meri zindagi ki tarah,  Par chalo ek dilaasa hai, Ki meri tarah koi ussay mohabbat kar sakta nahin.  - Medhavi  Nov 3, 22

shayad🤞

Woh shayad na padhe yeh shayari meri kabhi, Par usko amar mere lafz karte rahenge,  Saath jeene ki kasam usne yun hi todd di toh kya, Hum har din zara aur us par marte rahenge... - Medhavi Nov 3, 22

tasveer sher🤞

Yeh puchta hai aksar woh mujhse,  Ki kisi ek hi shaqs se, Kayi baar mohabbat kaise ho sakti hai, Main hans kar bas usay aayeena dikha deti hun. - Medhavi Nov 3' 22

sher✌️

Yeh puchta hai aksar woh mujhse,  Ki kisi ek hi shaqs se, Kayi baar mohabbat kaise ho sakti hai, Main hans kar bas usay aayeena dikha deti hun. - Medhavi Nov 3' 22

tukde ✌️

Sheeshe ke makaan par, Dhokhe ke pathar jo padde, Toote huye tukde bhi,  Sach ke jhooth hone ki, Fariyaad karte rahe... Koi tukde ek saath rakh bhi dega, Par naya sheesha laana hi padega, Kyunki Toota hua kaanch,  kuch der bhi na tikega... Koi maang le maafi kitni bhi,  Tukde pairon mein toh chubhenge, Toote tukdon ko aur toddne ki, Hum ijaazat phir se kyun denge ? - Medhavi Nov 1, 2022

kya tum bhi 🤞

Kya tum bhi... Kya tum bhi meri tarah yeh baatein sochte ho,  kaise honge woh din aur raatein sochte ho,  jab waqt ki koi paabandi Na hogi,  mulaaqaaton ki umrein lambi hongi,  Jab har khayaal likh ke bataana Na padega, Aur doooriyon se pyaar jataana Na padega... Kya tum bhi meri tarah yeh baatein sochte ho,  kaise honge woh din aur raatein sochte ho, Jab hum har waqt ka khaana saath khaayenge, Aur bin soche bas kahin bhi nikal jaayenge, Jab saath baith kar ghanton yeh chaand takenge, Aur phir pehle ki baaton par pehli baar sa hansenge... Yeh baatein sochte sochte  ek ek din main guzaar rahi hun, Tumse milne ka har waqt  main intezaar kar rahi hun, Dekho aaj ek aur din kam ho gaya, Hamari mulaaqaat ka waqt kareeb aa gaya, Yahi soch kar muskura rahi hun  main meelon dur tumse, Yahi soch kar phir  khwaab bun rahi hun jodd ke tumse... Medhavi

bewaffai 🌸

Bewaffai bahut chote kisson se hoti hai, Yeh sirf kisi dusre shaqs ko apne kareeb  aaneya jaane tak seemit nahin hoti,  Har woh jhooth bewaffai hai jo do logon ke beech aaye, Har woh cheez bewaffai hai jo chupaani padd jaaye, Chahe woh koi mulaaqaat ho ya text message,  Hadh se badhi huyi koi baat ho ya emotional baggage,  Woh attention ho jo sirf ek shaqs ke liye hoti hai, Ya ek pal ki kamzori jo shayad  asal mein maayeene nahin rakhti hai,  Bewaffai bahut subjective hai,  Ismein bahaane nahin hote, Aur mohabbat bahut simple, kyunki, Usmein haq jataane nahin paddte,  Isliye ek zara si chot faaslon ki wajah ban jaati hai,  Ek ankaha dard juda hone ki saza ban jaati hai, Toh agli baar kisi teesre shaqs ke wajood banne se pehle, Khud se poocha ki yeh jagah tumne banne kyun di,  Aur mohabbat karna toh poore imaan se karna,  Kyunki zindagi mein aadhi cheezein toh jhoothi hi hain, Aadhi adhoori mohabbat karne ka kya faayada.  - Medhavi

zindagi

एेखौऍ ज़िन्दगी  यूँ ची ना चुई ,  एचुत  से ऐसे  मनज़रो से साऎना  चुआ,  जहां टूट कर ऎैं कितनी ऌऍा चूर चूर चुई ... ज़माने ने थाली एेथियां  पैरों ऎें ऎेरे,  चर एार उन्चे तोड़ ऎैं खुऌ ची आज़ाऌ चुई... लड़ के मगर ऍिर ऎैं किसी गलत के लिए,  ना जाने कितनी ऌऍा खुऌ ची एर्एाऌ चुई... सा़ ऌेने का ााऌा किया ना जाने कितनो ने,  चा़ पकड़ के छोड़ने की ऍित्रत समझा भी गए ,  समझा ना सकी खुऌ को, कैसे समझाती ऎैं सबको ,  कि किसिकी एातों ऎें ऎैं यूँ  ची आ भी गयी... सा़ ़ा ना कोई  और जब ऎुथ के ऌेखा ,  ऎैं ची गलत ़ी, और ऐसे ची ऎजचूर चुई,  सए भूल गए सारी अच्छी  एातों को,  ना जाने कितनी ऌऍा ऎैं टूट कर चूर चूर चुई... ऎोचए्एत भी सुनी और ऌोस्ती भी सुनी,  ऎैने अपनी ऌुनिया कितने धागों से पिरोई ,  टूटे उस ऎाँझ की पतंग से ख्ााए जैसे,  इन राचों ऎें ऎैं तनचा कितनी एार चुई,  सबको एनाया अपना, पर ऎैं किसी की ना चुई... ली ऌुड्ऎनी गैरों से अपनो की आन की खातिर,  और खुऌ का ताऎाजा एनते  कई एार ऌेखा,  एुरे  ा्༘त ऎें ऎेरे किसी ने ऎेरी आह  भी ना सुनी,  जिनकी  अपनी नींऌे  ऎैने खराए की ़ी,  उन्चोने खुऌ तक पचूँचने की सीड़ी भी उपर ले ली..  ना सोयी

Humne bahut intezaar kiya🌸

Humne bahut intezaar kiya,  Tumhare saath reh kar, tumhare saath ka,  Tum jo na keh sake, us har ek baat ka... Lafzon se pare, tumhare pyaar ki hadh ka, Jo tum likh na sake, us har ek khat ka... Tumhare khaas logon mein, apni ginti ka, Tumhe apni zindagi mein shaamil karne ki vinti ka... Tumhari us ek nazar ka,  jisse tum gairon ko dekhte ho, Tumhari zindagi mein us jagah ka,  jispe tum gairon ko rakhte ho... Tumhare haathon ki lakeeron ki garmi ka, Tumhari saanson mein ghulti apni narmi ka... Par tum na aaye,  Humne bahut intezaar kiya, Shayad itna hi tha taqdeer mein, Toh humne bas, bahut intezaar kiya. - Medhavi Oct 8' 2022

duvidha🌸

Tum woh khwaab ho,  Jisse main khuli aankhon se dekhti bhi hun,  Aur har din toot-te huye mehsoos bhi karti hun... Tum woh ummeed ho,  Jisse main khud se nazar bacha kar rakhti hun, Niraash ho kar bhi, phir se dil mein bharti hun... Tum meri woh pasand ho, Jisse har dusre din main khud se sawaal karti hun,  Kabhi hans ke toh kabhi ro kar khud ko behaal karti hun... Tum woh Humsafar ho, Jo der saver saath yun hi chodd deta hai,  Phir laut kar zindagi ki raah modd deta hai... Takleef hogi, yeh pakka hai,  Dil tootega, jazbaat bikhrenge,  Yeh bhi pata hai, par,  Tum woh duvidha ho,  Jismein rehna mujhe achcha nahin lagta, Par jisse pyaar karne se mera dil nahin thakta...

sadak 🌸

Jali huyi maachis ki teeli ki tarah,  He threw me off in a bin from his life, Raaton raat jazbaat badal gaye,  Felt like my world was a room with no light,  Rone ka koi faayada na tha,  Because I realized it's not worth it after a while, Par dil bhara tha shikwon se, toh, I wept until my heart lost his sight... Kehte hain be-asar ho jaata hai dard,  After you cry out not just pain but love,  Jab dil toot-ta hai toh ashq khaali ho jaate hain, And then nothing ever hurts you enough... Usne mera dil nahin mujhe todd diya,  He broke my spirit and I only felt empty inside, Kuch mehsoos nahin hua jab usne chodd diya,  Because I lived with this fear at the cost of losing my mind,  Haan, pyaar tha, ab bas afsos hai mujhko,  I regret belittling myself and begging for love,   Kisiko samjhaana pade toh kya faayada,  That respect is beyond addressing me well,  Izzat dena, basic hai, kisiko sunna, basic hai,  Kisiki baat poori hone dena, basic hai,  Kisiko bhagwaan nahin insaan samajhna, basic

waqt✌️

Kaash yeh waqt kuch aur der tham jaata,  Aur un aankhon mein hum kuch aur der doob paate... Kuch aur der unke haath mere haathon mein hote,  Chaahe milne ke saare bahaane khatam ho jaate... Par is din ko dhalna hi tha,  Mulaaqaat ko tootna hi tha,  Par achcha hai waqt guzar gaya,  Warna hum phir kal Milne ka vaada kaise karte...

khat 🤞

Woh khat jo tumne kabhi likha nahin,  Uska intezaar mera raha,  Woh manzil kabhi humko mil na saki,  Uska khwaab tumhara raha,  Woh waqt jo hamari kismat mein tha nahin,  Uski shikaayat taqdeer se rahi,  Aur woh mulaaqaat jo adhoori reh gayi,  Uska anjaam bhi adhoora raha.  - Medhavi🫶 Wrote after a long time. Some relationships are so beautiful that they end up draining out your emotions. Yes, that happens too. That's why they say that some imperfections are needed as flaws make things more beautiful. It's alright to walk away from something that is robbing off your mental peace. A good relationship is effortless, and if your relationship is taking a toll on your mental health, don't think twice before walking away. You deserve love that gives you peace, not anxiety.

For Su🌸

Kayi baar khoobsurati is cheez mein hoti hai, ki kuch log milte hi shakkar ki tarah zindagi mein ghul jaate hain. Na koi khaamoshi rehti hai, na kuch atpata lagta hai, Kuch logon se pehli baar milte hi puraana rishta lagta hai.  Aur shayad isiliye kehte hain ki mann ke darwaaze kabhi bandh nahin karne chahiye,  Kyunki kya pata kab koi ajnabee yun hi dil ke zariye hamara dost ban jaaye.  Mera dost banne ke liye, zara paagalpan laazmi hai, Kyunki zindagi mein khush rehna sabse zaada zaruri hai,  Aaj ka din itna achcha isiliye gaya kyunki kuch dost kayi saal baad miley, aur ajnabiyat se miley do log aaj dost ban gaye.  @theshayarsvanity - you're a sweetheart.  @hues.of.a.muse - I love you !  Aapka Aaj ka din kaisa tha ?

Machis

Jali huyi maachis ki teeli ki tarah,  He threw me off in a bin from his life, Raaton raat jazbaat badal gaye,  Felt like my world was a room with no light,  Rone ka koi faayada na tha,  Because I realized it's not worth it after a while, Par dil bhara tha shikwon se, toh, I wept until my heart lost his sight... Kehte hain be-asar ho jaata hai dard,  After you cry out not just pain but love,  Jab dil toot-ta hai toh ashq khaali ho jaate hain, And then nothing ever hurts you enough... Usne mera dil nahin mujhe todd diya,  He broke my spirit and I only felt empty inside, Kuch mehsoos nahin hua jab usne chodd diya,  Because I lived with this fear at the cost of losing my mind,  Haan, pyaar tha, ab bas afsos hai mujhko,  I regret belittling myself and begging for love,   Kisiko samjhaana pade toh kya faayada,  That respect is beyond addressing me well,  Izzat dena, basic hai, kisiko sunna, basic hai,  Kisiki baat poori hone dena, basic hai,  Kisiko bhagwaan nahin insaan samajhna, basic

saugaatein✌️

Khaali ghar mein adhoori baatein reh gayin,  Jo na ho saki woh mulaaqaatein reh gayin,  Humein chalna tha saath saath magar,  Zindagi mein sirf taqdeer ki saugaatein reh gayin... - Medhavi 

tasveerein✌️

Baddi choti si kahaani hai kehne ko,  Ek ne waqt ki janzeerein todd di, Aur dusre ne ghar galliyaan chorr di, Do pal ki mulaaqaat sadiyon ka saath ban gaya,  Khaamoshi ka afsaana waffa ki aawaaz ban gaya,  Ungliyaan choo gayin thi bas ek dusre se, Aur taqdeerein badal gayin, Andheron se guzar yun hi lamhe pakad ke, Aayeene ki tasveerein badal gayin...