sher 🤞

Aaj raat ka chaand dekh kar, 
Tumhara khayaal be-waqt aaya, 
Dil mein aaya tumhari koi tasveer dekhun, 
Kyunki bas pyaar tum par be-wajah aaya...

Log kehte hain ki mohabbat waqt ke saath dhundhli padd jaati hai, 
Par tumhare liye bekaraari har saans ke saath kyun badh jaati hai?
Tumhara intezaar jaise aadat ban gayi hai, 
Mohabbat hi thi, par ab ibaadat ban gayi hai...

🌸Har saans ke saath guzarta hui zindagi khaali lagti hai tumhare bina, 
Na jaane kaise itni saansein zindagi ne gin li tumhe jaane bina...

🌸Ek din koi aur unko humse badh kar bhaa gaya, 
Koi ek pal mein aa ke mera naam tumhari zindagi se mitta gaya, 
Socha tha koi na le sakega jagah meri zindagi mein tumhari, 
Par woh ek shaqs saara bhram, saari ummeedein todd gaya meri... 

Comments

Popular posts from this blog

oas 🌸

ghum 🌸

neend 🌸