Posts

Showing posts from August, 2016

Kya tumko bhi...*

Kya tumko bhi... Kya tumko bhi dooriyon ka ehsaas hota hai Ya woh andaaza bhi takra kar mere hi paas laut aata hai... Kya tumko bhi aisa lagta hai mujhe gale lagaate waqt Ki dhadkanon ka safar ek hi tarfaa reh jaata hai Ya ab kareeb aana bhi jaise tumhare liye ek samjhautaa hai... Kya tumko bhi khwaab wali mulaaqaatein zaada sach si lagti hain Ya yeh bhi bas mere hi dil ka afsaana hai... Kya tumko woh pehle jaise haath pakadne ko dil karta hai Ya bas yeh mere hi dil ka ankahaa sa Armaan hai... Kya tumko bhi lagta hai ki mohabbat kabhi dene ki zarurat hai Ya ab bas aadat si ho gayi hai tumhe sirf paane ki... Kya tumko bhi humein chorr ke jaane ka khayaal aata hai Ya yeh bhi vehem hai mera ki wajah dhundhte ho tum dur jaane ki... Kya tumko bhi iss saath se juddi judaayi ka ranjh o ghum sataata hai Ya yeh bhi koi aur tumko kisi aur andaaz se samjhaata hai... Kya tumko bhi meri aankhon mein dekh talaash rehti hai bekaraari ki Ya meri tarah tumne bh

Ek mulaaqaat ka khwaab ...*

Khwaabeeda se tum aaj phir aa gaye saamne Harf - harf likhna chaaha taabeer ko teri par tujh mein hi gum ho gaya har zarra mera... Ba - dastoor raha khayaal tera zehen mein rawaan rawaan Aabshaar sa behta raha waqt bhi Zara Zara Tujhko paaya mukhtalif is zamaane se Warna iztiraar hum yun hi nahin hua karte Vasl kuch yun uns ka chhaa gaya Hum pe Ki thakte nahin aajkal hum sitaare ginte ginte... Ab bhi muntazir tere deedaar ko hum Mayassar saare sawaal rakhe baithe hain Ki ruhaaniyat yun mili ek nazar se Ek mulaaqaat ka khwaab liye baithe hain... Medhavi Words and their meanings - *Khwaabeeda - dreamy *Harf - letter *Taabeer - interpretation of dreams *Ba - dastoor - unaltered *Aabshaar - waterfall *Mukhtalif - different *Iztiraar - restless *Vasl - passion *Uns - love *Muntazir - awaiting *Mayassar - available *Ruhaaniyat - soulfulness

Para Losing feelings...*

Can a person lose feelings for someone he's/she's madly been in love with ? Not post break up or a fight or an argument, but being in a relationship ? Can he/she just wake up one morning with no love for the same person he/she was crazy about a few days back ? Is this possible ? Yes. It is. And this happens only due to one reason, that is, being drained out. You meet somebody, you fall in love, the journey seems to be dream like, there are ups and downs, fights and laughter, failures and success, struggles and strength, but you stay steady and move through all those phases. This is normal. But what if only one person is held responsible or holds the responsibility of the entire relationship ? Only one person, say A, prioritises, compromises, sacrifices, stays loyal and gives it all, while the other person, say B, takes A for granted, never makes an effort, isn't considerate, never compromises, never goes out of the way, fools around, cheats and just keeps taking it al

🏴Modd..*

Ek mod par chhoot gaya woh khwaab,  Jiske irt girt zindagi ki manzil khurchi thhi.  Ab bhi Na jaane kyun, Woh lakeerein chheel deti hain paanv mere. Jahaan daastaan gehraani thhi  wahan sehraa se takraa gaya saahil,  jahaan ranjishein bhulaani thhi  wahan shikvon mein ghul gaye manzar. Ab pukaarein bhi toh kisse,  shikaayat karein bhi toh kya,  ek kashti par sawaar thha khwaab woh,  aur samandar ke cheenton ne hi neendein khol di hamari... Medhavi

Sher...*

Ek tasveer nigaahon ke saath har waqt chalti rehti hai Baat karne ruko toh gum ho jaati hai Socha bhula dun kuch palon ke liye tujhko Par dekh Teri namaujoodgi bhi ab Wajood ban baithi hai... Medhavi

Para R.I.P Abhi...*

And one day your best friend just leaves you alone in this world... With a million memories n a billion regrets. You don't know how to deal with it.. how to undo things.. how to apologise for a hundred things.. how to show all the love n care at once when the person is not there anymore. He taught me about life.. he taught me about second chances.. he taught me how to love.. he taught me how important patience was.. n now all of a sudden he's gone. . . Reason ?  A sudden road accident.. drunken driving.. over speeding .. n taking life for granted ! We had to meet Abhi.. you're listening ? We had to meet this weekend... We had to eat Dal Delhicious at Kabab express. . Chicken lasagne at big chill n what not.. we had to do our movie marathon . . . You had to take me to Murthal... N gift me a Labrador at my wedding.. we had to do so much.. n you left me alone. I don't know how to live this life anymore. I want to die n come to you. You taught me never to give u

🚩Please come back... (Poetry -- R.I.P Abhi 2)..*

I'm scared of pain and heartache now, coz you were the one who cured it all. A call away and miles apart, you knew how to deal with me from the start... You promised me so many forevers and always, You just went away leaving me stuck up in life's maze, I close my eyes and see you there, And people don't believe but I feel you everywhere... Walking with me, talking to me,  laughing with me, crying with me. People also think I'm going insane, Or I'm not able to deal with this pain... But how should I collect all my concerns, Which is beyond what others think or say. I know how empty I feel, Dealing with losing you and never getting back... It would've been different if you were miles away, Bed ridden or ill, but hopes of things becoming okay, But you left without a message, leaving me in guilt n regrets, With just 'I coulds' and 'why I couldnts' Each moment seems like a million hours, And you expect me to live my

P.Talaash ---- (Poetry -- R.I.P Abhi - 1)

Dhundha tujhe un sab galliyon mein, Jahaan jahaan ummeed thhi, Pukaara tujhe chilla chilla kar, Par shayad mere hausalon mein kami thhi... Sun raha hai tu mujhe, Shayad dekh bhi raha hai, Teri uss duniya mein shayad, Yeh sab mumkin har tarah hai... Par soch kabhi mera bhi, Hun main yahan be-ummeed, Sab pooch rahe hain mujhse, Aur main keh rahi hun sab theek... Sambhaalna hai tere apnon ko, Par mujhe sambhaalne wala koi nahin, Na jaane neend kab aayegi, Na jaane kab chain milega, Itni thhi baatein kehne ko, Par tune suna hi nahin... Naraaz Hun tujhse aur khud se kar rahi hun nafrat be - intehaan main, Yeh soch soch ki woh aakhiri baar tujhse baat Na ki thhi maine, Bahut se kaash hain jin mein ab zindagi bitaani hai, Jo Na jaan sake tujhe unhe Teri kahaani sunaani hai, Par ek khauff sa ho gaya hai zindagi se, Tere bin jeene se ghabraata hai yeh dil, Kho gaye saare raaste, Gumshuda si ho gayi kuch aise manzil...