Ek mulaaqaat ka khwaab ...*

Khwaabeeda se tum aaj phir aa gaye saamne
Harf - harf likhna chaaha taabeer ko teri
par tujh mein hi gum ho gaya har zarra mera...

Ba - dastoor raha khayaal tera zehen mein rawaan rawaan
Aabshaar sa behta raha waqt bhi Zara Zara
Tujhko paaya mukhtalif is zamaane se
Warna iztiraar hum yun hi nahin hua karte
Vasl kuch yun uns ka chhaa gaya Hum pe
Ki thakte nahin aajkal hum sitaare ginte ginte...

Ab bhi muntazir tere deedaar ko hum
Mayassar saare sawaal rakhe baithe hain
Ki ruhaaniyat yun mili ek nazar se
Ek mulaaqaat ka khwaab liye baithe hain...

Medhavi

Words and their meanings -
*Khwaabeeda - dreamy
*Harf - letter
*Taabeer - interpretation of dreams
*Ba - dastoor - unaltered
*Aabshaar - waterfall
*Mukhtalif - different
*Iztiraar - restless
*Vasl - passion
*Uns - love
*Muntazir - awaiting
*Mayassar - available
*Ruhaaniyat - soulfulness

Comments

Popular posts from this blog

oas 🌸

ghum 🌸

neend 🌸