Posts

😒Words...----

Words are such garlands.. You smell them n believe them..  but forget the reality that they will perish very soon..

Gum...*

Kabhi kabhi sochti hun, Kahin kho gaya hai raasta, Manzilon ki bheed mein... Jo khushbuyein raahat si thhi, Jo aadatein shiddat si thhi, Woh dhundhli padd gayin, Aur phir kahin gum ho gayin... Ab saamne ho tum magar, Lagte ho kyun gair se, Iraade ab bhi badle nahin, Juda ho gaye hum phir bhi bin bair ke... Woh mohabbat wahin hai magar, Kyun jataane ko jee na chaahe ab, Ulfat ki hadh utni hi gehri hai magar, Kyun nibhaane ki himmat na aaye ab... Toot toot kar dil dheet ho gaya, Ab dard se darta nahin, Itna ghum aankhon mein bhar gaya, Ki ab ro kar waqt gawaata nahin... Ummeed bhi nahin koi, Aas bhi aakhiri bujh gayi, Tujhe paane ki aarzoo mein, Meri apni hi raah gum gayi... Lut-te rahe lutaate rahe khud ko, Koi hadh na tayy ki kabhi, Tune na samjha mere ishq ko, Kaash dekha hota humko gaur se ek daffa kabhi ...

💚The Silent night...

Image
Was it the magic of the stars that night Or was it all about me and you... Was it the fragrant moment that filled all voids Or was it all about the things you do... Was it the spark that ignited my soul Or was it the fire that burnt us down... Was it the uncertainity that was the surest thing Or the madness that seemed to be our sanest form... Or maybe it was just the two of us beneath the darkest yet brightest night, Inbetween countless doubts and countable stars in that cloudy sky,  Maybe we had a meaningless temporality under the permanence of memories, Undescribable, unimaginable, yet just made so much sense without any question of why? Instinct, connection or a weak moment, name it whatever you may, But there will be a night etched in the sky that wont forget our names... Medhavi...

Chhoota hua lamha... *

Ek lamha chhoot gaya, Bahut si anginat gehraayiyon mein... Kuch labhon ki surkhiyon mein Kuch gesu-on ki uljhanon mein Kuch badan ki silwaton mein Kuch saanson ki behadh hadhon mein... Kuch khushbu-on ke libaas mein chuppe dhuyein ki tarah Kuch khaamoshiyon ki aas liye be-baak baaton mein doobi aas ki tarah... Dabe paaon aa gaya katra katra kuch nazdeek Bikhar gaya ek lamhe mein jo lagta thha ab tak theek... Kuch tujh mein madhosh ho gaye Aur hosh apne kho diye Galat sahi se pare teri oar Na jaane kyun uss lamhe tere ho gaye... Na jaaye tu uss raat kya, kabhi bhi mujhse Is khayaal ke khayaal ka sawaal hi na tha Mulaaqaat thhi pehli aur koi bahaana bhi na tha Jaate huye dekha tujhe mudd mudd kar yun humne Jaise tere waapas aane ka intezaar hamesha se hi tha...

W. Thehra safar... *

नज़दीकियों और फासलों  के दर्मियां,  कहीं गुम एक लमहा ,  भीड़ में अब भी जो  कभी कभी ,  करता हैं हमको तनहा... साथ भी और साथ नहीं,  इस खामोशी  की कोई आवाज नहीं,  बातें कितनी पर मतलब कुछ भी नहीं,  कदम बढ़ते हुये  पर मंज़िल का पता नहीं... टूटा हुआ पर अब भी मुक्कम्मल,  दबी हुई ख्वाहिशों में  लिपटा ,  बिनाम  सा रिश्ता , ठेहरा सा सफर ,  और हर दिन वही एक मनज़र ... मेधावी 

P.Soch...*

Kabhi kabhi sochti hun,  ki kitna sochti hun,  tere baare mein, Tere baare mein sochne ke baare mein sochti hun... Sochti hun ki khayaalon mein tum ho, ya khayaal tum ho, Naamaujhoodgiyon mein maujood ho agar, toh yeh doooriyaan kyun hain.. . Doooriyaan hain agar, Toh chehre par yeh sukoon kyun hai, Sukoon hai agar toh junoon mein dooba hua, Junoon ki sarhadon ke paar mohabbat ka ek anokha sa nasha, Aur uss nashe ke paar kahin sahi aur galat se upar tera mera saath kahin... Phir sochti hun yeh khayaalon ka samandar hai, ya samandaron ke darmiyaan koi haqeeqat hai, Haqeeqat hai agar toh kyun, Khwaabi sa lagta hai jahaan teri baahon mein... Kyun soch par bhi tera kaabu aur neendon par bhi chalta hai tera jaadu... Kyun dua mein bhi tu aur ardaas mein bhi tera naam hai shaamil Kyun hai mohabbat itni ki darr lagta hai kabhi kabhi khud se mujhko Na jaane kis tarah hoga haasil tu mujhe, kis tarah maangun tujhko... Yahi sochte sochte phir soch...

🫧Naamanzoor... *

Kuch ghabraata hai Kuch guroor bhi karta hai Tera haath thaam kar Duniya ko naamanzur bhi karta hai... Hai dil yeh kehne ko Par teri yeh jaageer hai Mere zehen ki gehraayi mein Tere khayaalon ki bheed hai... Tera naam jo lete hain labh Saans ab bhi tham jaati hai Tu dekhe mujhe bin baat jab Dhadkan phir dil tak aati hai... Hai kya suroor yeh teri maujoodgi ka Jo tere na hone par bhi madhosh yun karta hai Hai kya junoon yeh is bekhudi ka Jo meri deewanagi ko beparwaahi ka dosh yun deta hai... Tujhe dekh ab bhi bhar aayein yeh aankhein Tera tassavur baar baar kaid karta hai Yeh dil ek aag samete rehta hai teri chingaariyon ki Aur phir dheere se tera naam phir leta hai... Kuch ghabraata hai Kuch guroor bhi karta hai Tera haath thaam kar Duniya ko naamanzur bhi karta hai...