P.Soch...*

Kabhi kabhi sochti hun, 
ki kitna sochti hun, 
tere baare mein,
Tere baare mein sochne ke baare mein sochti hun...
Sochti hun ki khayaalon mein tum ho,
ya khayaal tum ho,
Naamaujhoodgiyon mein maujood ho agar,
toh yeh doooriyaan kyun hain..
.
Doooriyaan hain agar,
Toh chehre par yeh sukoon kyun hai,
Sukoon hai agar toh junoon mein dooba hua,
Junoon ki sarhadon ke paar mohabbat ka ek anokha sa nasha,
Aur uss nashe ke paar kahin sahi aur galat se upar tera mera saath kahin...

Phir sochti hun yeh khayaalon ka samandar hai,
ya samandaron ke darmiyaan koi haqeeqat hai,
Haqeeqat hai agar toh kyun,
Khwaabi sa lagta hai jahaan teri baahon mein...

Kyun soch par bhi tera kaabu
aur neendon par bhi chalta hai tera jaadu...

Kyun dua mein bhi tu aur ardaas mein bhi tera naam hai shaamil
Kyun hai mohabbat itni ki darr lagta hai kabhi kabhi khud se mujhko
Na jaane kis tarah hoga haasil tu mujhe, kis tarah maangun tujhko...

Yahi sochte sochte phir soch pareshaan ho gayi
Phir khayaalon ki chaadar tere naam ho gayi
Phir khuda ki ibaadat karte karte tere tassavvur mein kho gaye
Phir mohabbat ke naam par mitte aur tere ho gaye...

Medhavi

Comments

Popular posts from this blog

oas 🌸

ghum 🌸

neend 🌸