Posts

🫧Naamanzoor... *

Kuch ghabraata hai Kuch guroor bhi karta hai Tera haath thaam kar Duniya ko naamanzur bhi karta hai... Hai dil yeh kehne ko Par teri yeh jaageer hai Mere zehen ki gehraayi mein Tere khayaalon ki bheed hai... Tera naam jo lete hain labh Saans ab bhi tham jaati hai Tu dekhe mujhe bin baat jab Dhadkan phir dil tak aati hai... Hai kya suroor yeh teri maujoodgi ka Jo tere na hone par bhi madhosh yun karta hai Hai kya junoon yeh is bekhudi ka Jo meri deewanagi ko beparwaahi ka dosh yun deta hai... Tujhe dekh ab bhi bhar aayein yeh aankhein Tera tassavur baar baar kaid karta hai Yeh dil ek aag samete rehta hai teri chingaariyon ki Aur phir dheere se tera naam phir leta hai... Kuch ghabraata hai Kuch guroor bhi karta hai Tera haath thaam kar Duniya ko naamanzur bhi karta hai...

🏴Aadat...*

Tujhmein masroofiyat ki aadaton ki aadat lag gayi, Mohabbat kuch iss kadar meri ibaadat ban gayi, Tera fitoor ek junoon ban har saans mehkaane bhi laga, Dooor reh ke bhi chuye bina humko behkaane bhi laga, Teri chhu-an, teri saansein humko pighlaati rahi, Ek chubhan si faaslon sang humko rulaati bhi rahi, Par intezaar mein hamare koi kami na rahi, Waqt guzra magar mohabbat aur jawaan hoti rahi, Ab bhi tumhe dekh dekh bhar aayein yeh nayan, Ki sochein ab bhi ki kiya kya jo tujhe paa gaye hum...

Kahaani... *

Yahin kahaani shuru huyi thhi Ek madhosh karne wali aas ke saath, Yahin aaj dum todd rahi hai,  har badhti saans ke saath... Tumse mil kar socha thha, Hum mukkammal kuch ho jaayenge, Jo jhoothe bhram thhe mohabbat ke, Socha thha tum sang rang laayenge, Par yeh kahaani toh jaise shuru ho kar bhi be-manzil rahi... Tum kabhi na ban sake sirf mere, Aur meri toh har saans tumhare naam thhi, Par bhram toddne ke fitoor mein yun nibhaate rahe mohabbat apni, Ki khud ke tukdon ko raundh kar bhi saans lena seekh gaye... Socha thha hogi baarish rang aur noor ki, Ek hawa si chali aur hum khud ke ashqon mein hi bheeg gaye Kyun pakde rakhein haath ab tumhara Hum toh na jaane kis pal tumse bichadd gaye... Uss pal ka kasoor kahein Ya kahein yeh faisala taqdeer ka Hamari mohabbat tumhe choo na saki Aur shayad yeh dosh thha hamare beech ki bheed ka...

Juda... *

Ab likh likh ke tujhko Thak gaye hain khayaal bhi Ummeed karte karte Bujh gaye hain sawaal bhi Na jaane kya baaki hai Na jaane kiski aas hai Kuch chhoot gaya tumse peeche Par ab bhi hamare dil ke paas hai Dard hota hai ab bhi Par ashq ab aankhein bharte nahin Bikhar gaye toote tinke Ab asar yeh tukdde karte nahin Guzre afsaanon mein kahin Ab bhi goonj rahi hai khushi meri Dil behlaane ko achcha bahaana hai Cheekh leti hun andar ki khaamoshi mein Doooriyaan juda kar dengi humein Yeh khayaal bhi kabhi na aaya thha Ab sochti hun toh lagta hai Taash ke patton ka aashiyaana banaaya thha.... Medhavi

P Saamna...*

Kuch baatein khud ki Main khud hi bhulaana chahti hun Magar bhoolne se pehle Kisiko bataana chahti hun Thoda darti hun Khud ki kamzoriyon se Thoda sambhalti hun Khud ki thokaron se Bahut si baatein aisi hain Jo bahut andar dafn hain Saanson ke kareeb hain Par guzar kar unse wahin thami hain Na jaane yeh kamiyaan khud ki Mere saamne ho kar bhi kab tak chuppi rahengi Jalti huyi yeh kamzoriyaan dil ke andar Kab tak chehre par bujhi rahengi Sochti hun koi miley aisa jo Mujhe sune aur kamiyon sang meri chaahe mujhe Sochti hun koi miley aisa jiss se Yeh sab baatein chupaani na padein Kab ban gayi itni kamzor main saamna karte karte aate jaate waqt ka pata na chala Bas mushkilon ke saath apna khud se bhi saath chhoot-ta raha Kisi ne aise chorra jaise hum kisi kaam ke na rahe Aur phir jisne bhi haath pakda, saath nibhaaya nahin Bhool gayi hun khud ko kuch is tarah ki darr hai shayad khud se hi Saari ummeedein bharosa mitt gaya duniya se kya khud se...

Intezaar *

Intezaar Kuch tera intezaar hai Kuch dil yeh be-ikhtiyaar hai Kuch gali yeh mehek rahi hai Ek sadi bin tere guzar gayi hai Bhooli nahin hun ab bhi Tere jism ki woh khushboo Teri aawaaz ki woh narmi Teri baaton ka woh jaadu Aur saanson ki woh garmi Neendon mein muskuraati rahi Tere khwaabon ko jagaati rahi Is tarah deewanon ki tarah Main har din bitaati rahi Ab tere aane ki khabar jo mili Yakeen de raha hai dhokaa sa ab bhi Tujhe choo kar dekhungi toh aitbaar hoga Tu hai sach mein nigaahon ki haqeeqat Vehem mein dekha hi nahin bas tujhe Tujhe baahon mein bhar kar neendein bhi haasil ki Ab tu hoga jab mere kareeb Toh gum ho jaayengi yeh neendein bhi Kayi ghante toh teri aawaaz zehen mein kaid karne mein lagenge Kayi din toh tujhe nigaahon mein bharne mein lagenge Phir jaa kar tere hone ka yakeen hoga Woh manzar na jaane kitna haseen hoga... Medhavi

Sher...*

Nazdeekiyon mein kaid Dooriyon ka asar thha Meri waffa se mohabbat se Woh bekhabar thha Phir bhi ab bhi usko apna bataane mein Guroor sa khud par hota hai.. Medhavi Mohabbat phir karne ki na thhi aarzoo humko magar Tum aa khadde huye saamne meri zindagi ka maksad ban kar... Medhavi Jab teri maujoodgi mein bhi tanhaayi mehsoos hone lagi, hum samajh gaye ki ab hamari zarurat khatm ho gayi... Medhavi