Intezaar *

Intezaar

Kuch tera intezaar hai
Kuch dil yeh be-ikhtiyaar hai
Kuch gali yeh mehek rahi hai
Ek sadi bin tere guzar gayi hai

Bhooli nahin hun ab bhi
Tere jism ki woh khushboo
Teri aawaaz ki woh narmi
Teri baaton ka woh jaadu
Aur saanson ki woh garmi

Neendon mein muskuraati rahi
Tere khwaabon ko jagaati rahi
Is tarah deewanon ki tarah
Main har din bitaati rahi

Ab tere aane ki khabar jo mili
Yakeen de raha hai dhokaa sa ab bhi
Tujhe choo kar dekhungi toh aitbaar hoga
Tu hai sach mein nigaahon ki haqeeqat
Vehem mein dekha hi nahin bas tujhe
Tujhe baahon mein bhar kar neendein bhi haasil ki
Ab tu hoga jab mere kareeb
Toh gum ho jaayengi yeh neendein bhi
Kayi ghante toh teri aawaaz zehen mein kaid karne mein lagenge
Kayi din toh tujhe nigaahon mein bharne mein lagenge
Phir jaa kar tere hone ka yakeen hoga
Woh manzar na jaane kitna haseen hoga...

Medhavi

Comments

Popular posts from this blog

oas 🌸

ghum 🌸

neend 🌸